Aqeeqa ke masaail

Aqeeqa ke masaail

✺ Bachcha paida hone ki khushi mein nemat ke shukr ke taur par Allah Ta'ala ki raza ke liye jo jaanwar zabah kiya jaata hai, use "Aqeeqa" kehte hain.

✺ Bachcha paida hone ke baad 7th din ya 14th ya 21st din aqeeqa karna mustahab hai, bagair kisi majboori ke 21 din se ziyaada taakheer karna munaasib nahin. 21st din ke baad taakheer karne se aqeeqe ke waqt ki fazeelat khatm hojaati hai.

Nabi ﷺ ka irshaad hai: Aqeeqe ka jaanwar 7th din zabah kiya jaaye ya 14th din ya 21st din. (Tabraani Ausat: 4882)

✺ Jis ke yahaan bachcha paida huwa ho us ke liye mustahab hai ke 7th din us ka naam rakhe, aqeeqa kare aur us ke sar ke baal mundwaaye aur baalon ke wazan ke baraabar chaandi ya us ki qeemat sadqa kare. (Shaami: 26/289, Kitaabul Uzhiyyati)

✺ Masla: Agar koi 21st din bhi aqeeqa na kar sake to jab bhi aqeeqa kare, 7th ka lihaaz rakhna behtar hai, is ka tareeqa yeh hai ke jis din bachcha paida ho, us ke ek din pehle aqeeqa karde, maslan agar juma ko bachcha paida ho to jumaraat ko aqeeqa kare. (Elaaus Sunan: 16/7817, Baabul Aqeeqati)

✺ Masla: Ladki ki jaanib se ek bakra aur ladke jaanib se 2 bakre zabah karna mustahab hai, agar 2 bakron ki istita'at na ho to ladke ki taraf se ek bakra bhi kaafi hai. (Elaaus Sunan: 16/7818, Baabul Aqeeqati)

✺ Masla: Aqeeqe ke liye aisa jaanwar laazim hai jis ki qurbaani durust ho. (Shaami: 26/289, Kitaabul Uzhiyyati)

✺ Masla: Aqeeqe ke gosht ka wahi hukm hai jo qurbaani ke gosht ka hai. (Shaami: 26/289, Kitaabul Uzhiyyati)

Share on: 

Allah Ta'ala hi se maanga kar

Baitulkhala ki Sunnatein

Baitulkhala ki Sunnatein

1) Sar dhhaank kar jaana. (Sunan-e-Kubra Baihaqi: 465)
2) Joota Chappal pehan kar jaana. (Sunan-e-Kubra Baihaqi: 465)
3) Dua padh kar andar jaana. (Bukhaari: 6322)
4) Pehle baayaan paaon andar rakhna. (Bukhari: 426, Fathul Baari: 16/425)
5) Qible ki taraf na munh karna aur na peethh karna. (Abu Dawood: 8)
6) Bilkul baat na karna. (Abu Dawood: 15)
7) Khade ho kar peshaab na karna. (Ibne Majah: 309)
8) Baayein haath se istinja karna. (Bukhari: 154)
9) Istinja ke baad mitti ya saabun wagaira se achchhi tarah haath dho lena. (Abu Dawood: 45)
10) Daayein paaon se baahar aana. (Bukhaari: 426)
11) Baahar aane ke baad dua padhna. (Ibne Majah: 300)

Jannat ki kunji Namaaz hai

Allah Ta’ala ki khushi waalid ki khushi mein hai

Deen khuloos wa wafaadaari ka naam hai

Kaamil Musalmaan