Kaun kaun si cheezein ehraam mein naajaaiz hain?

  1. Sila huwa kapda pahenna. (Shaami: 8/219, Faslun Fil Ehraam)
  2. Khushki ke jaanwar ka shikaar karna. (Shaami: 8/212, Faslun Fil Ehraam)
  3. Badan ke kisi hisse (sar, daadhi, badan, zere naaf, moonchh wagaira) ke baal katarwaana ya mundaana. (Shaami: 8/217-218, Faslun Fil Ehraam)
  4. Naakhun kaatna. (Shaami: 8/213, Faslun Fil Ehraam)
  5. Khushbu ya tel lagaana. (Shaami: 8/213, Faslun Fil Ehraam; Shaami: 8/399, Baabul Jinaayaati Fil Haj)
  6. Hambistari karna ya us ki khwaahish ko ubhaarne waali koi baat ya harkat karna. (Shaami: 8/211, Faslun Fil Ehraam)
  7. Sar ya chehra dhaankna. (Shaami: 8/213, Faslun Fil Ehraam)
  8. Moze pahenna. (Shaami: 8/219, Faslun Fil Ehraam)
  9. Joon maarna. (Shaami: 8/480, Baabul Jinaayaati Fil Haj)
✿ Oopar di gayi cheezon ke kar lene se kabhi to dam waajib hota hai aur kabhi sadqa, dam se muraad ek bhed, ya bakri ya dumbe ki qurbaani aur sadqe se muraad itna galla ya us ki qeemat hai jitna sadqa-e-fltr mein diya jaata hai. Us ki tafseel zaroorat ke waqt ulma-e-kiraam se maaloom karlein.

Note: Haj ke waajibaat, sunan, mustahabbaat aur Madeenah Munawwarah ki haazri ke aadaab aur umrah ka mukammal tareeqa aur haj ke fazaail-o-masaail par moatabar ulma-e-kiraam ki likhi gayi kitaabein moatabar ulma ki rehnumaai mein padhna chaahiye aur un ki rehnumaai mein haj-o-umrah ke masaail aur ziyaarate harmain shareefain ke aadaab seekhna chaahiye taake mukammal taur par haj-o-umrah ki barkaat haasil hosakein.

Ref: Deeniyat Course book
❥❥ Share on:

Namaaz-e-Janaaza ke faraiz

Namaaz-e-Janaaza mein do cheezein farz hain:

  1. Khade ho kar namaaz padhna.
  2. Chaar martaba "Allahu akbar" kehna. 
Note: Agar koi shakhs khade ho kar sirf 4 martaba "Allahu Akbar" kahe, tab bhi namaaz durust ho jaayegi. Reference: (Shaami:6/283, 309, Baabu Salaatil Janaaza)