Feb 28 - Bukhaar aur Dard ke Yeh Du'aa padha kare


Badi nishaani hai jo sochte samajhte hon

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Wahi hai jis ne aasmaan se paani barsaaya jis se tumhein peene ki cheezein haasil hoti hain aur usi se darakht ugte hain jin mein tum maweshiyon ko charaate ho. Isi se Allah Ta'ala tumhaare liye khetiyaan, zaitoon, khajoor ke darakht, angoor aur har har qism ke phal ugaata hai. Haqeeqat yeh hai ke in sab baaton mein un logon ke liye badi nishaani hai jo sochte samajhte hon. (Sura-e-Nahal: 10,11)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 27 - Naya Chaand Dekh kar yeh Du'aayen padhein


Insaan ko thheekre ki tarah khankhanaati hui mitti se paida kiya

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Usi ne insaan ko thheekre ki tarah khankhanaati hui mitti se paida kiya. (Sura-e-Rahmaan: 14)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 26 - Jab kisi ko Ghussah Aaye

Islam ko Deen ke taur par pasand kar liya

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aaj main ne tumhaare liye tumhaara Deen mukammal kar diya aur tum par apni nemat poori kar di aur tumhaare liye Islam ko Deen ke taur par (hamesha ke liye) pasand kar liya. (Sura-e-Ma'idah: 3)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 25 - Kisi Namaaz ke Baad is Du'aa ko Na Chodna

Feb 24 - Faqr-o-Mohtaaji Se Panaah aur Qabr ki Wehshat se Najaat hogi


Feb 23 - Waalidain ke Haq Me Is Du'aa ka Ehtemaam karna Chaahiye


Jo Allah Ta'ala ki yaad se ghaafil hota hai

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur jo Allah Ta'ala ki yaad se ghaafil hota hai, to Ham us par ek shaitaan musallat kar dete hain, fir har waqt wo uske saath rahta hai. (Qur'an: 43: 36)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 22 - Jab Allah Ta'ala Kisi Bande ko Koi Ne'amat Ataa Farmaaye


Feb 21 - Musibat ke Waqt yeh Kalimaat Padhne ki Ta'aleem Di


Ek ladke ka hissa do ladkiyon ke hisse ke baraabar hai

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Allah Ta'ala tum ko tumhaari aulaad ke haq mein hukm deta hai ke ek ladke ka hissa do ladkiyon ke hisse ke baraabar hai. (Sura-e-Nisa : 1)

Khulaasa : Waalidain ki wiraasat mein ladke ke do hise aur ladki ka ek hissa hota hai, jis ka ada karna farz hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 20 - Jab Haalat ki wajah se Bohat Pareshaan ho to is Aayat ko padha kare


Jo shakhs Allah aur us ke Rasool ka kahna na maane

Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Jo shakhs Allah aur us ke Rasool ka kahna na maane, woh khulli huwi gumraahi mein hai. (Sura-e-Ahzaab : 36)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 19 - Jab Witr ki Namaaz ka Salaam pherte to yeh Dua Padhte


Feb 18 - Rasool Tumhein Jo Kuch Dein Woh Le Lo


Fizool kharch na karo

Allah (Subhanahu wa ta'ala) Quran mein farmaate hain (Tarjama): "Fizool kharch na karo, beshaq Woh (Allah ) Fizool kharch karney walo ko pasand nahin karta". (Surah Al-Anaam 6: 141)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 17 - Jab kisi kaam ke Karne ka Iraadah Zaahir karein to kahein


Feb 16 - Bada Zaalim Kaun Hoga


Feb 15 - Rab se Taubah Kar lo


A Du'a made between the Adhan and the Iqamah

Hadith: Anas ibn Malik Radiyallahu 'anhu narrates that Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam said: A Du'a made between the Adhan and the Iqamah is never rejected. The Sababah asked: What Dua should we make, O Rasullullah? He replied: Ask Allah for 'Afiyah (well being) in this world and in the Hereafter. (Tirmidi: 3594)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 14 - Insaaf Qaayem Karne Wale Bano


Feb 13 - Zulm


Momin aurton se keh dijiye ke apni nigaahein neechi rakhein

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur momin aurton se keh dijiye ke apni nigaahein neechi rakhein. (Sura-e-Noor: 31)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 12 - Miswaak


Insaan apne Rab ka bada hi na shukra hai

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai: Insaan apne Rab ka bada hi na shukra hai, haalaanke us ko bhi is ki khabar hai (Aur woh aisa muaamla is liye karta hai) ke us ko maal ki muhabbat ziyaadah hai. (Sura-e-Aadiyaat: 6-8)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 11 - Pehli Ummaton ki Aadaton Aur Taur-o-Tariqon


Feb 10 - Musalmaan ko Haqeer Na Samjhe


Waada poora karo

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Waada poora karo; beshak waade ki poochh hogi. (Sura-e-Bani Israaeel: 34)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 9 - Khaane Main Aeib


Jo Allah par Iman laaya, aur Allah hi ko mazboot pakde raha

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): So jo Allah par Iman laaya, aur Allah hi ko mazboot pakde raha, to Allah usko apne fazl-o-karam se apni rehmat mein daakhil karega aur apni taraf ka raasta dikhaa dega. (Sura-e-Nisa: 175)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 8 - Khaane ko Mat Soongho


Bemauqa (maal) udaane waale shaitaanon ke bhaai hain

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Quraabatdaar (rishtedaar) ko us ka haq dete rehna aur mohtaaj aur musaafiron ko bhi dete rehna aur (maal ko) bemauqa mat udaana, (kiyun ke) beshak bemauqa (maal) udaane waale shaitaanon ke bhaai hain aur shaitaan apne Rab ka bada naashukra hai.
(Sura-e-Isra: 26,27)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 7 - Main (Nabi S.A.W) Aise Khaataa Hoon


Sabr Aur Namaaz Se Madad Haasil Karo

Qur'an Me Allah Ta'ala Farmaata Hai: Aye Imaan WaaIon! (Tabee'aton se Gam, takleef Aur Pareshaaniyon Ko Halka Karne Ke Liye) Sabr Aur Namaaz Se Madad Haasil Karo, Yaqeenan Allah Ta'ala Sabr Karne Waalon Ke Saath Hai. (Sura-e-Baqarah: 153)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 6 - Khaana Khaao To Jooton ko Utaar Do


Logon ke liye badi nishaaniyaan hain jo gaor-o-fikr se kaam lein

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur aasmaan wa zameen mein jo kuchh hai, sab ko us ne apni taraf se tumhaare kaam mein laga rakha hai. Yaqeenan us mein un logon ke liye badi nishaaniyaan hain jo gaor-o-fikr se kaam lein. (Sura-e-Jaasiyah: 13)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 5 - Khaane Me Barkat



Feb 4 - Jannat ki Sharaab


Allah ki taraf se khushnoodi

Qur'an mein Allah Ta'ala farmata hai (Tarjama): Allah ne momin mardon aur momin aurton se waada kiya hai aise baagaat ka jin ke neeche nehrein behti hongi, jin mein woh hamesha raheinge aur aise paakeeza makaanaat ka jo sadaabahaar baagaat mein honge. Aur Allah ki taraf se khushnoodi to sab se badi cheez hai (jo Jannat waalon ko naseeb hongi) yahi to zabardast kaamiyaabi hai. (Sura-e-Tauba: 72)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 3 - Salaam Me Pehel


Nek kaamon mein ek doosre se aage badhne ki koshish karo

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Tum nek kaamon mein ek doosre se aage badhne ki koshish karo. (Sura-e-Baqarah: 148)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 2 - Yahood-o-Nasaara Ki Mushaaba'hat Ikhtiyaar Mat Karo


Qur'an ko naseehat haasil karne keliye aasaan kar diya hai

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur hum ne Qur'an ko naseehat haasil karne keliye aasaan kar diya hai, to koyi hai naseehat haasil karne waala. (Al Qamar: 22)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Feb 1 - Magfirat