November 30


December - 6

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ko sab jagahon se zyaada mehboob masajid hain aur sabse zyaada naapasand jagahein baazaar hain. (Muslim: 1528)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

December - 5

Aaj Ki Hadees
Hazrat Usman Bin Affan Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko yeh irshaad farmaate hue suna: Jo shakhs Isha ki namaaz jamaat ke saath padhe, goya usne aadhi raat ibaadat ki aur jo Fajr ki namaaz bhi jamaat ke saath padh le, goya usne puri raat ibaadat ki. (Muslim: 1491)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

November 29


November 28


December - 4

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Qur'aan padho, kyun ke yeh Qayaamat ke din apne padhne waalon ke liye sifaarishi ban kar aayega. (Muslim: 1874)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

December - 3

Aaj Ki Hadees
Hazrat Buraida Aslami Raziyallahu Anhu farmaate hain ke main ne Rasulullah ﷺ ko farmaate huwe suna ke Namaaz-e-Witr laazim hai, jo witr ada na kare woh ham (musalmaanon) mein se nahin hai (yeh jumla Aap ﷺ ne teen martaba irshaad farmaaya). (Abu Dawood: 1419)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

December - 2

Aaj Ki Hadees
Hazrat Khaarija Bin Huzaafa Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke ek din Rasulullah ﷺ hamaare paas tashreef laaye aur irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ne tumhein ek aur Namaaz ata farmaai hai, Jo tumhaare liye surkh oonton se bhi (jo tumhein bahot pasand hain) behtar hai. Woh Namaaz-e-Witr hai. Allah Ta'ala ne tumhaare liye is ka waqt Namaaz-e-lsha ke baad se tulu-e-fajr (subah saadiq) tak muqarrar farmaaya hai. (Abu Daawood: 1418)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

November 27


Tohfa-e-Nikaah Part - 31

Halki Phulki Cheezon Se Bhi Waleeme Ki Daawat Ho Sakti Hai

Waleeme ke liye zaroori nahein hai ke kisi badi daawat ka intizaam kiya jaye, balke mukhtasar aur halki phulki cheezon se bhi waleeme ki sunnat poori ho sakti hai, chunaanche

Hazrat Anas Raziyallahu Anhu kahte hain ke Rasulullah ﷺ ne apni kisi biwi ke nikaah par aisa waleema nahein kiya jaisa ke Hazrat Zainab binte Jahash (Raziyallahu Anha) ke nikaah ke mauqe par kiya, poori ek bakri zabah karke waleema kiya. (Bukhari: 5168)

Matlab yeh hai ke Aap ﷺ ne apni biwi Hazrat Zainab binte Jahash (Raziyallahu Anha) ke nikaah par ek poori bakri zabah kar ke nikaah kiya, magar doosri biwiyon ke nikaah par Aap ﷺ ne is se bhi mukhtasar aur halke taur par waleema kiya. Chunaanche riwaayaton mein aata hai ke baaz biwiyon ke nikaah par sirf 2 sair Jau mein waleema kar diya aur baaz ke nikaah par chand khajoorein aur kuch paneer aur makkhan par waleema kiya. Is se ham andaaza laga sakte hain ke waleema ki daawat sunnat to hai magar is daawat ka intizaam bhi bahot aasaan hai.

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 30

Nikaah A'lal Elaan Masjid Mein Karna Masnoon Hai, Aur 2 Gawaahon Ka Hona Waajib Hai

Nikaah se pehle behtar hai ke ladka aur ladki ya un ke ghar waale ek doosre ko dekh lein, taake is naye rishte par har ek ko itminaan rahe, nikaah chori chhupe nahein karna chaahiye, balke us ka elaan hona chaahiye, isi liye masjid mein nikaah karna sunnat hai, taake basti ya muhalle ke ziyaada se ziyaada log is ko jaan jaayein.

Huzoor ﷺ ne farmaaya: Is nikaah ka elaan karo aur nikaah masjid mein karo. (Tirmizi: 1089)

Nikaah se pehle khutba dena bhi masnoon hai, us ke baad ladka ya ladki 2 gawaahon ki maujoodgi mein nikaah ka ijaab wa qabool karlein. Isi tarah nikaah gawaahon ki maujoodgi mein hona zaroori hai, gawaahi ke liye chaahe 2 mard hoon ya 1 mard aur 2 aurtein.

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jo aurtein apna nikaah gawaah ke bagair (chori chhupe) kar lein woh zina karne waali hain. (Tirmizi: 1103)

Share on: Telegram | WhatsApp

November 26


November 25


December - 1

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya Beshak Allah Ta'ala ke Ninaanve naam hain. Jo Allah Ta'ala ke in naamon ko yaad karega, Jannat mein daakhil hoga. (Muslim: 6809)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

November - 30

Aaj Ki Hadees
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Ilm ka haasil karna har musalmaan par farz hai. (Ibn-e-Maaja: 224)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

November - 29

Aaj Ki Hadees
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala jis shakhs ke saath bhalaai ka iraada farmaate hain us ko Deen ki samajh de dete hain. (Bukhari: 71)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

November - 28

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs ilm haasil karne ke liye koi raasta ikhtiyaar kare, to Allah Ta'ala Jannat ka raasta us ke liye aasaan kar dete hain. (Abu Dawud: 3641)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

November - 27

Aaj Ki Hadees
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs gawaahi de ke Allah ke alaawa koi ma'abood nahin aur Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain, to Allah Ta'ala us par jahannam ki aag ko haraam kar dega. (Muslim: 142)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

November 24


November - 26

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Mustaurid Bin Shaddad (Raziyallahu Anhu) farmate hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ki qasam duniya ki misaal aakhirat ke muqabile mein aisi hai jaise tum mein se koi shakhs apni ungli darya mein dal kar nikaal le phir dekhe ke paani ki kitni miqdaar ungli par lagi hui hai (yani jis tarah ungli par laga hua paani darya ke muqabile mein bahut thoda hai aise hi duniya ki zindagi aakhirat ke muqabile mein bahut thodi hai). (Muslim: 7197)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

November - 25

Aaj Ki Hadees
Hazrat Sumra Bin Jandub (Raziyallahu Anhu) se riwayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Baaz dozakhiyon ko aag inke takhnon tak pakdegi aur baaz ko unke ghutnon tak pakdegi aur baaz ko inki kamar tak pakdegi aur baaz ko inki hansli (gardan ke neeche ki haddi) tak pakdegi. (Muslim: 7170)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

November - 24

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas (Raziyallahu Anhu) farmaate hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qayaamat ki alaamaat mein se ye hai ke ilm utha liya jayega, jahalat ajayegi, sharaab (Khullam khulla) pijayegi. Aur zeena phail jaayega. (Muslim: 6785)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 29

Ghar Ke Kaam Khud Karein

Rasulullah ﷺ ki nek biwiyaan aur paakiza betiyaan aur sahaabiyaat gharelu kaamon ko mukammal taur par anjaam deti thein aur apne shoharon ke gharon ki raani ban kar izzat ki zindagi guzaarti thein. Un ki zindagi tamaam aurton ke liye namoona hai, is liye har aurat ko un ki zindagiyon ka mut'aala karna chaahiye aur un ki raah par chalne waali khaandaan ki badi boodhi aurton se ghar chalaane ka fan seekhna chaahiye. Hazrat Faatima (RA) jo Rasoole khuda ﷺ ki pyaari beti aur jannat ki aurton ki sardaar hain. Hamesha ghar ke kaam kaaj apne haath se kartein aur kabhi ghar ki chaar deewaari ko unhon ne apne liye tang na samjha, na gharelu kaamon mein kabhi zillat mehsoos ki, mubaarak haathon se chakki peestein, mashak se paani bhar kar laatein, ghar mein jhaadu detain aur khaana tayyaar kartein, lihaaza aurtein apne ghar ke kaam anjaam dein.

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 28

Saas Wa Khusr Ka Adab Wa Ehtiraam Karo

Saas aur khusr ka adab har haal mein apne waalidain ki tarah karo, har waqt un ko khush rakhne ki koshish karo chaahe tum ko takleef ho ya raahat, un ki marzi ke khilaaf ek qadam bhi na chalo. Zubaan se koi aisa lafz mat nikaalo jis se un ko takleef ho. Jab un se koi baat karo, to aise alfaaz istemaal karo jo buzurgon ke liye istemaal kiye jaate hain, saas tum ko agar kisi muaamle mein tambih kare to khaamoshi se sun lo. Palat kar jawaab na do, agar koi kaam karne ke liye doosre se kahe to tum aage badh kar use anjaam de do. Khusr ko jab khitaab karna ho, to is tarah mukhaatab karo jaise apne buzurgon ko khitaab karti ho. Jahaan tak ho sake un ke aaraam wa raahat ki koshish karti raho, kisi zaroorat se baahar jaana ho, to apne shohar ya khusr ya saas se ijaazat le kar jaao, ijaazat dein to jaao, warna mat jaao. Shohar ko bhi chaahiye ke apne khusr wa saas ka adab wa ehtiraam kare, un ka khayaal rakhe aur un ko apne maa baap ki tarah samjhe.

Share on: Telegram | WhatsApp

November 23


Tohfa-e-Nikaah Part - 27

Bachchon Ki Deeni Wa Akhlaaqi Tarbiyat karna; Waalidain Ki Sab Se Badi Zimmedaari Hai

lslaam ne maa baap par bachchon ke ta'alluq se jo zimmedaariyaan daali hain, un mein sab se badi zimmedaari yeh hai ke un ki deeni taaleem wa tarbiyat ki fikr karein, yeh bahot hi ahem zimmedaari hai, jis mein zara si gaflat bachche ke mustaqbil ke liye bade khatre ki baat ho sakti hai. Is baare mein waalidain ne agar bachche ki deeni taaleem wa tarbiyat mein gaflat ki aur us ke nateeje mein bachcha bad deen aur bad akhlaaq ho gaya, to waalidain is ke zimmedaar hai aur us ka gunah un hi ko hoga aur aakhirat mein is baare mein un se sawaal hoga. Lihaaza is silsile mein khaas fikr aur tawajjoh ki zaroorat hai, isi deeni taaleem wa tarbiyat ki ehmiyat ke peshe nazar

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Apne bachchon ko zabaan kholne ke baad sab se pehle kalima "Laa Ilaaha Illallaah" kahelwaao. (Sho'bul Imaan : 8649)

Is Hadees se maaloom huwa ke sab se pehle bachchon ko tauheed yaani Allah Ta'ala ke ek hone ki taaleem dena zaroori hai phir aahista aahista Islaam ki doosri bunyaadi baatein sikhaayi jaayein, agar shuru hi se is tarah tarbiyat hogi, to bada hone ke baad un ki tarbiyat aur aasaan ho jaayegi.

Hazrat Abdullah bin Abbas (Raz) kehte hain ke Huzoor ﷺ se Sahaaba-e-Kiraam (Raz) ne poochha ke ya Rasulullah! yeh to hamein maaloom hai ke aulaad par baap ke kya huqooq hain, magar khud baap par aulaad ke kya huqooq hain? Aap ne farmaaya: Un par haq yeh hai ke bachche ka achchha naam rakhe aur un ki achchhi tarbiyat kare. (Sho'bul Imaan: 8658)

Aur ek riwaayat me hai ke jab woh baalig ho jaaye to us ki shaadi karaade, us ki shaadi nahi karaayi aur woh gunaah me mubtala ho gaya to us ka gunaah baap par hoga. (Sho'bul Imaan: 8666) 

Tirmizi shareef mein ek riwaayat hai: Rasulullah ﷺ ne farmaaya: kisi baap ne apni aulaad ko achchhe aadaab sikhaane se behtar koi tohfa nahein diya. (Tirmizi: 1952)

Ibne Maaja mein ek Hadees hai: Hazrat Anas (RA) se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Apni aulaad ka ikraam karo (yaani un ko amaanat samajh kar un ki qadr karo aur un ko bojh na samjho) aur un ko achchha adab seekhaao. (Ibne Maaja: 3671)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 26

Shohar Ko Khush Rakhne Ka Badla Jannat Hai

Jis Hadees mein kisi khaas amal par jannat ki khush khabri di jaaye, to us ka matlab yeh hota hai ke yeh amal Allah ko mehboob hai, us ka sila jannat hai aur us ka karne wala jannati hai, chunaanche ek Hadees mein

Hazrat Umme Salma (RA) se riwaayat ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jo aurat is haalat mein duniya se jaaye ke us ka shohar us se raazi aur khush ho to woh jannat mein jaayegi. (Tirmizi: 1161)

Ek doosri riwaayat mein

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Aurat jab paancho waqt ki namaaz padhe, Ramzaan ke roze rakhe, apni izzat wa aabru ki hifaazat kare aur shohar ki farmaanbardaar rahe, to phir (use haq hai ke) woh jannat ke jis darwaaze se chaahe, daakhil ho jaye. (Hilyatul auliya li Abu Nuaim: 1104)

Is Hadees mein khaas taur se yeh baat yaad rakhne ke qaabil hai ke is mein biwi ke liye shohar ki itaa'at ko namaaz, roza aur zina se hifaazat ke saath zikr kiya gaya hai, is mein is baat ki taraf ishaara hai ke shari'at ki nigaah mein jis tarah in arkaan wa faraaiz ko ada karna ahem hai, aise hi shohar ki farmaanbardaari karna aur us ke saath achchhe akhlaaq se pesh aana bhi ahem hai.

Share on: Telegram | WhatsApp

Ladki Waalonke Yahan Baaraat Ke Shakal Mein Dawaat Wa Khaane Ka Hukm

Play/Download
Length: 03:58
Media TypeVideo (Mp4)
Mufti Nadeem Sb Db
Share on: Telegram | WhatsApp

Juma Mubarak Kahna Sahi Hai Ya Nahi ?

Play/Download
Length: 02:12
Media TypeVideo (Mp4)
Mufti Nadeem Sb Db
Share on: Telegram | WhatsApp

November 22


November 21


November - 23

Aaj Ki Hadees
Agar insaan ke pass maal-o-daulat ke 2 jungal bhi ho jaaein to woh teesre ki khawaahish karega aur insaan ka pet to qabr ki mitti hi bhar sakti hai. (Bukhari: 6436)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

November - 22

Aaj Ki Hadees
Jo jawaan bhi kisi boodhe shakhs ki us ke budhaape ki wajah se izzat karta hai, to Allah Ta'ala us jawaan ke budhaape ke waqt kisi aise shakhs ko mutayyan kar deta hai jo us ki izzat karta hai. (Tirmizi: 2022)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

November - 21

Aaj Ki Hadees
Duniya mein jo 2 rukha (munaafiq) hoga, qayaamat ke din us ke munh mein aag ki 2 zabaanein hongi. (Abu Dawud: 4873)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 25

Shohar Ko Biwi Ke Kaamon Mein Bhi Haath Bataana Chaahiye

Shohar par biwi ke bade ehsaanaat hain, woh 9 maheene us ke bachche ko pet mein rakhti hai phir takleef ke saath us ke bachche ko janam deti hai aur phir paida hone ke baad us ke bachche ko doodh pilaati hai aur tarbiyat karti hai, ghar ke kaamon ko anjaam deti hai aur shohar ke maal wa asbaab ki nigraani karti hai, us ke alaawa aur bhi doosre kaam karti hai, lihaaza shohar ko us ke kaamon mein bhi haath bataana chaahiye, hamaare Nabi ﷺ bhi ghar ke kaam kar liya karte the; chunaanche

Hazrat Urwa (RA) ne Ummul Mo'mineen Hazrat Aaisha (RA) se poochha ke jab Rasulullah ﷺ aap ke yahaan tashreef farma hote, to kya kaam karte the? to Hazrat Aaisha (RA) ne jawaab diya ke Aap ﷺ apne kapde khud si lete aur apna joota durust kar lete the aur doosre woh tamaam kaam karte the, jo kaam doosre log apne gharon mein karte hain. (Musnade Ahmed: 24903)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 24

Biwi Ke Saath Achchha Bartaao Karne Waala Sab Se Achchha Insaan Aur Kaamil Mo'min Hai

Insaan apne akhlaaq ki wajah se achchha ya bura hota hai, jin ke akhlaaq achchhe honge, woh shareef aur achchha insaan kehlaayega aur jin ke akhlaaq bure hoonge to woh bura aadmi kehlaayega, har aadmi ka apni biwi ke saath zindagi mein ziyaada waasta padta hai, is liye jab aadmi apni biwi ke saath achchha bartaao karta hai to yeh is baat ki daleel hai ke woh achchhe akhlaaq waala aadmi hai. Yahi wajah hai ke

Aap ﷺ ne farmaaya: Tum mein sab se behtareen woh log hain jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hain. (Tirmizi: 1162)

Ek hadees mein Rasulullah ﷺ ne farmaaya: "Musalmaanon mein sab se kaamil imaan waala woh hai, jis ke akhlaaq achchhe hoon aur biwi bachchon aur doosre ghar waalon ke saath lutf wa muhabbat ka muaamla karta ho. (Tirmizi: 2612)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 23

Gaane Aur Music Sunne Se Zameen Mein Dhansne Aur Pattharon Ki Baarish Ke Azaab Mein Mubtala Ho Sakte Hain

Aaj kal music aur gaana itna aam ho gaya hai ke koi mehfil aur khushi ka mauqa gaane aur music se khaali nahein hota, us ke bagair to saara maza pheeka samjha jaata hai. Shaadi biyaah mein bhi yahi haal hai, naach gaane aur music ke bagair shaadi ko na mukammal aur adhoora samjha jaata hai, haalaanke yahi cheez Allah ki naaraazgi aur gusse ka sabab hai. Ek hadees mein

Rasulullah ﷺ ne gunaah ke bahot se kaam zikr kiye aur us ki wajah se sakht tareen azaab ki waeed sunaayi, un me se kuch gunaah yeh bhi bataaye ke log apni biwi ki farmaanbardaari karein aur apni maa ki naafarmaani karein aur doston ko qareeb karein aur baap ko door karein, gaane waaliyaan aur gaane baaje aam ho jaayein, sharaabein pi jaayein to us waqt surkh aandhiyon, zalzalon, zameen mein dhansaaye jaane, shaklein bigaad diye jaane aur patthar barasne ka intizaar karo aur doosri nishaaniyon ka intizaar karo, jo is tarah pe darpe aayeingi, jaise koi haar kaat diya jaai aur us ke daane pe darpe girein. (Tirmizi: 2211)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 22

Shaadi ke Mauqe Par Chhuhaare Taqseem Karna Sunnat Hai

Nikaah ek khushi ka mauqa hota hai, aise khushi ke mauqe par Islam ne jaaiz hudood me rehte huwe khushi ka izhaar karne ki ijaazat di hai, nikaah ke baad chhuhaare taqseem karna sunnat hai, chunaanche

Hazrat Aaisha Raziyallahu Anha se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne apni baaz aurton se nikaah kiya to khajoor lutaayi thi. (Sunane kubra baihaqi: 15079)

Agar masjid ki be-adabi wagaira ka andesha ho to chhuhaare lutaane ke bajaaye taqseem karna behtar hai.

Share on: Telegram | WhatsApp