New Year (31st) Night Manaan Musalmaanon se Mushaaba'hat hai yaa Gairon se???

New Year (31st) Night Manaana

December 31


Tohfa-e-Nikaah Part - 60

Aulaad Ke Haq Mein Allah Se Duaaein Maangte Rahiye

Har insaan ke dil mein apni aulaad se bahot ziyaada muhabbat hoti hai, isi liye jab woh un ke haq mein duaaein karta hai, to woh dil se nikalti hai aur isi liye us ko Allah zaroor qabool karte hain.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: 3 duaaein aisi hain jo yaqeenan qabool ki jaati hain, us ki qabooliyat mein koi shak nahein hai, waalid ki dua, musaafir ki dua aur mazloom ki dua. (Abu Daaood: 1536)

Ulama ne likha hai ke is Hadees mein sirf waalid ka zikr hai aur waalida ka nahein, lekin waalida bhi is mein shaamil hai, aur un ki dua kuch ziyaada hi maqbool hoti hai, kyun ke us ka haq bhi ziyaada hai. (Mirqaat: 7/135)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 59

Betiyon Ke Saath Achchha Sulook Karna Jannat Mein Daakhil Hone Ka Zariya Hai

Taaleem aur tarbiyat ladke aur ladki donon ka bunyaadi haq hai, donon ko achchhi taaleem dena aur un ki behtareen tarbiyat karna zaroori hai. Lekin ladkiyon ki taaleem wa tarbiyat ki ziyaada zaroorat hai, kyun ke wahi aage ek poore khaandaan ki tarbiyat karne waali banti hain, Huzoor ﷺ ne ladkiyon ke saath achchha bartaao karne ki khaas taakeed ki hai aur us ki khusoosi fazeelatein bayaan farmaayi hain.

Bukhari shareef mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jis shakhs par (Allah Ta'ala ki taraf se) in betiyon ki zimmedaari daali gayi aur in ke saath unhon ne achchha sulook kiya, to woh us ke liye jahannam se bachaao ka zariya baneingi. (Bukhari: 5995)

Ek Hadees mein Aap ﷺ ka irshaad hai: Jis shakhs ke yahaan ladki paida ho phir woh us ko na takleef pahonchaaye, na us ko zaleel kare aur na hi apne ladke ko us par tarjeeh de (yaani us ke saath bhi waisa hi bartaao kare, jaisa ke woh ladkon ke saath karta hai) to Allah Ta'ala us ke saath is achchhe sulook ki wajah se us ko jannat mein daakhil karega. (Musnade Ahmed: 1957)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 58

Shohar Sirf Chand Dinon Ka Mehmaan Hai

Ek Hadees mein Hazrat Muaaz bin Jabal (RA) se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jab kabhi koi biwi apne shohar ko koi takleef pahonchaati hai, to us ke shohar ki jo biwiyaan Allah Ta'ala ne jannat mein "Hooron" ki shakl mein rakhi hain, woh Hoorein jannat se is duniya ki biwi ko khitaab kar ke kehti hain, tu is ko takleef mat pahoncha, is liye ke yeh tumhaare paas chand din ka mehmaan hai aur qareeb hai ko woh tum se juda ho kar hamaare paas aajaaye. (Tirmizi: 1174)

Yeh baat Rasoolullah badmizaaj aur bigdi tabiyat waali biwi ko mutwajje kar ke farma rahe hai ke tum apne shoharon ko jo takleef pahoncha rahi ho, is se us ka kuch nahein bigadta, is liye ke duniya mein to jo chaahogi takleef pahoncha dogi, lekin aakhirat mein Allah Ta’ala us ka rishta aisi "Hooron" ke saath qaaim  farmaayeinge, jo in shoharon se itni muhabbat karti hain ke un ke dil ko abhi se is baat ki takleef ho rahi hai ke duniya mein hamaare shohar ke saath yeh kaisa takleef pahonchaane waala muaamla kiya ja raha hai! lekin yeh duniya ki biwi agar nek hogi, apne shohar ki itaa’at karne waali hogi, to phir yeh jannat mein un tamaam hooron ki sardaar hogi.

Share on: Telegram | WhatsApp

December 30


December 29


December 28


December 27


December 26


Tohfa-e-Nikaah Part - 57

Biwi Ko Narmi Se Samjhaao

Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Aurat ko pasli se paida kiya gaya hai, aur woh tujh se kabhi seedhi nahi chal sakti; lihaaza agar tu us ke andar tedhaapan hote huwe us se faaida uthaana chaahta hai to uthaale aur agar tune use seedha karne ki koshish ki, to tu use tod dega aur us ka todna talaaq hai. (Muslim: 3643)

Is Hadees se maaloom huwa ke biwiyon ke saath hamesha achchha sulook karna chaahiye, un ke saath narmi se pesh aana chaahiye aur unhein baraabar narmi wa khair khawahi ke saath naseehat karte rehna chaahiye, is ke baawajood agar un ki taraf se tedhaapan saamne aaye to us ko bardaasht karna chaahiye, kyun ke un ki paidaaish hi tedhi pasli se huwi hai, un ki fitrat mein hi kuch tedhaapan hai, yaani un ko bhalaayi ki naseehat karna bhi na chhode aur na hi baat baat par gussa karta rahe.

Share on: Telegram | WhatsApp

January - 7

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: 3 khaslatein (aadatein) aisee hain ki jismein ya paida ho jayein usney Imaaan ki mithas ko pa liya. Awwal ye ki Allah aur uska Rasool uskey nazdeek sabse ziyada mehboob ban jayein, Dusrey ye ki wo kisi insaan se sirf Alllah ki Raza ke liye Muhabbat rakhey, Teesrey ye ki wo Kufr mein wapas lautney ko aisa bura jaaney jaisa ki Aag mein daley jaaney ko bura jaanta hai. (Bukhari: 16)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 6

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Darda Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Baap jannat ke darwaazon mein se behtareen darwaaza hai chunaanche tumhein ikhtiyaar hai khwaah (uski naafarmaani karke aur dil dukha ke) us darwaaze ko zaaya kar do ya (uski farmaabardaari aur usko raazi rakh kar) us darwaze ki hifaazat karo. (Tirmizi: 1900)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 5

Aaj Ki Hadees
Rasool ﷺ ne farmaaya: Jab tum kisi mareez ke paas (us ka haal poochne ke liye) jaao to us ki zindagi ke baare me tasalli ki baat kaho, kyun ke tumhaari yeh baatein agarche Allah ke faisle ko to nahin badal sakti hai magar is se mareez ka dil khush hoga. (Tirmizi: 2087)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 4

Aaj Ki Hadees
Rasullulah ﷺ ne farmaaya: Aye aadam ke bete (insaan) ! Agar tu zaroorat se zaaid maal (bhalaai ke kaamon mein) kharch kar de toh yeh tere liye behtar hai aur agar tu use roke rakhe toh yeh tere liye bura hai. (Muslim: 2388)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 3

Aaj Ki Hadees
Rasool ﷺ ne farmaaya: Jis ne shohrat ka kapda pehna, Allah Ta'ala us ko qayaamat ke din zillat wa ruswaai ka kapda pehnaaeinge. (Ibne Maaja : 3606)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 2

Aaj Ki Hadees
Rasullulah ﷺ ne farmaaya: "Jin logon ko Allah Ta'ala ne maal diya aur woh us ki Zakaat ada nahin karte, Qayaamat ke din un ka yeh maal ek bahot hi zahreele aur ganje saanp ki shakl mein saamne aayega uski aankhonke ke paas do siyah nukhte honge woh un ki gardan mein lipat jaayega aur un ke jabdon mein noch noch kar kahega. Main tumhaara jama kiya huwa maal hoon, main tumhaara khazaana hoon". (Bukhari: 1403)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

January - 1

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Imaan waalon mein sab se kaamil Imaan waala woh shakhs hai jis ke akhlaaq sab se achchhe hon aur tum mein sab se achchhe log woh hain, jo apni biwiyon ke haq mein akhlaaq ke etibaar se sab se achchhe hoon. (Tirmizi: 1162)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

December 25


Tohfa-e-Nikaah Part - 56

Fuzool Kharchi Se Bachaane Ke Liye Apne Bachchon Ko Ilme Deen Sikhaao

Ek insaan fuzool kharchi se usi waqt bach sakta hai jabke us ko maaloom ho ke fuzool kharchi kitna bada gunaah hai, duniya aur aakhirat mein us ke kya nuqsaanaat hain, aur kin kin kaamon mein fuzool kharchi hoti hai, un ko jaane bagair koi aadmi fuzool kharchi se nahein bach sakta aur yeh sab baatein maaloom hoongi ilme deen seekhne se, is liye apne bachchon ko ilme deen sikhaao. Qur'aan wa Hadees ke ilm ko ilme deen kehte hain aur Qur'aan wa Hadees ka ilm seekhne waala Allah aur us ke Rasool ke nazdeek be had pasandeeda hai.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Tum mein sab se behtar woh hai jo Qur'aan ko seekhe aur sikhaaye. (Bukhaari: 5027)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 55

Achchhe Maqsad Se Nikaah Karne Waale ki Allah Ta'ala Madad Farmaate Hain

Nikaah ka sab se bada maqsad insaan ki iffat wa ismat ki hifaazat karna hai, jo har insaan ke andar khwah mard ho ya aurat fitri taur par maujood hai, usi ki hifaazat ke liye Islaam ne Zina aur muta'lliqaate zina, maslan: bepardagi, besharmi ki baaton aur mard aur aurton ke ikhtilaat ko haraam qaraar diya aur mard aurat donon ko hukm diya ke woh donon nikaah hi ke zariya apna fitri ta'alluq qaaim rakhein.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Aye naujawaano ki jamaat! tum mein jo nikaah karne ki taaqat rakhta ho, use chaahiye ke zaroor nikaah kar le, kyun ke woh nigaah aur sharmgaah ki hifaazat ka muassir zariya hai. (Bukhari: 5066)

Ek Hadees mein hai 3 Logon ki madad Allah Ta'ala ke zimme hai, un mein se ek shakhs woh hai, jo iffat wa paakdaamni yaani haraamkaari se bachne ke liye nikaah kare. (Tirmizi: 1655)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 54

Aurat Sasuraal Mein Kis Tarah Rahe

Aurat sasuraal mein is baat ka zaroor khayaal rakhe ke kisi ki be adabi na ho, agarche naya ghar, naye log hone ki wajah se jee na lage, lekin jee ko samjhaana chaahiye, na ke wahaan rone baith gayi aur jab dekho baithi ro rahi hai. Aate der nahein huwi aur jaane ka taqaaza shuru kar diya. Agar sasuraal mein koi baat buri aur naagawaar lage to maike mein aakar chugli aur shikaayat na karo, sasuraal ki zara zara si baat aa kar maa se kehna aur maa ka khod khod kar poochna bahot hi buri baat hai, isi se ladaaiyaan hoti hain. Jhagde hote hain, is ke siwa aur koi faaida nahein hota. Agar shohar ke maa baap zinda hoon aur woh rupya paisa sab un ko de, tumhaare haath mein na rakhe, to kuch bura na maano. Balke agar tum ko de bhi tab bhi aqalmandi ki baat yeh hai ke tum apne haath mein na lo aur yeh kaho ke un hi ko de taake un ka dil maila na ho aur tum ko bura na kahein ke bahu ne ladke ko apne phande mein kar liya.

Share on: Telegram | WhatsApp

Christmas Day aur New year Night

December 24


December 23



December 22


December 21


Tohfa-e-Nikaah Part - 53

Haraam Kaamon Se Apne Bachchon Ko Bachaayein

Shari'at ne jin cheezon ko haraam qaraar diya hai, un se apne bachchon ko bachaayein, jaise naach gaane, music wagaira, un ko sunne se hamesha mana karte rahein aur un ke saamne in cheezon ke dunya aur aakhirat ke zabardast nuqsaanaat ko samjhaayein aur un se nafrat dilaayein. Kyun ke bachpan mein jab in cheezon ki aadat pad jaati hai, to woh akheer umr tak baaqi rehti hai. Naach gaane aur music wagaira ke ta'alluq se

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Is ummat mein bhi zameen mein dhansaaye jaane, chehre bigaad diye jaane aur patthron ki baarish hone ka azaab naazil hoga, ek shakhs ne arz kiya: ya Rasoolallah! aisa kab hoga? Aap ne farmaaya: Jab gaane waaliyon aur gaane baaje ka riwaaj hoga aur sharaab pi jaayeingi. (Tirmizi: 2212)

Ek Hadees mein farmaaya: Allah ne mujh ko poori duniya ke liye rahmat aur haadi bana kar bheja hai aur mujhe gaane baaje aur music wagaira ko mitaane ka hukm diya hai. (Musnade Ahmed: 22307)

Kitni afsoos ki baat hai ke jin cheezon ko mitaane ka hukm Allah ne apne Nabi ko diya, ham raat din usi ko baja kar use badhaawa dete hain.

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 52

Apne Ghar Waalon Ke Saath Kuch Na Kuch Waqt Zaroor Guzaarein

Aaj kal is masroofiyat waala daur main aksar aisa hota hai ke aksar o bashtar log din bhar ghar se baahar rahta hain aur der raat waapas aate hain aur so jaate hain, yah tareeqa theek nahein hai, is se zindagi pheeki pad jaati hai, shaam ko ghar jaldi lautein aur apne ghar waalon ke saath kuch waqt guzaarain aur biwi bachchon ki dildaari ka saamaan faraaham karain

Hadees mein hai ke Rasoolullah ﷺ ka yeh maamool tha ke woh rozaana Asar ke baad apni har ek biwi ke ghar jaate aur un se mulaaqaat farmaate. (Bukhari: 5268)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 51

Apne Kaarobaar, Office Ya Kisi Bhi Zaroorat Se Baahar Jaana Ho To Waapas Aane Par Sab Se Muskuraate Huwe Chehre Ke Saath Milein

Islaam ki ek ahem taaleem yeh hai ke jab bhi kisi se mulaaqaat ho to us se muskuraate huwe milein aur sab ko salaam karein, ghar pahonchne par sab ko salaam karne se ghar mein barkat hoti hai.

Rasoolullah ﷺ ne Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ko naseehat karte huwe farmaaya: Beta! Jab tum apne ghar waalon ke paas jaao to salaam karo, yeh tumhaare liye barkat ka sabab hai aur tumhaare ghar waalon ke liye bhi. (Tirmizi: 2698) 

Ek Hadees mein Aap ﷺ ne farmaaya: Har bhalaayi sadqa hai, aur bhalaayi hi mein se hai ke tum apne bhai se muskuraate chehre ke saath mulaaqaat kare. (Tirmizi: 1970)

Dar asal is tarah ghar mein daakhil hone se saari badgumaaniyaan door ho jaayeingi aur aap ki muskuraahat se sab ka dil khush hoga.

Share on: Telegram | WhatsApp

December 20


December 19


December 18


Tohfa-e-Nikaah Part - 50

Kuch Khaana Aur Kuch Phenk Dena Bhi Fuzool Kharchi Hai

Khaana Allah ki taraf se ek qeemti ne'mat hai aur is qeemti ne'mat ki qadar karna bahot zaroori hai, beshumaar mauqo par fuzool kharchi hoti hai aur un mein sab se ziyaada afsoosnaak fuzool kharchi khaane ke silsile mein hoti hai, ham shaadi biyaah, kisi party ya deegar mauqo par khaana khaane jaate hain, to kuch khaate hain aur kuch yun hi zaaye kar dete hain aur us ko ham naye daur ka fashion samajhte hain, jab ke dunya mein laakhon log do niwaalon ke liye bhi taraste hain, is se bachne ki sakht zaroorat hai.

Allah Ta'ala farmaate hain: Khaao aur piyo, aur fuzool kharchi mat karo, yaad rakho ke Allah fuzool kharch logon ko pasand nahein karta. (Sura-e-Aaraaf: 31)

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jab tum mein se kisi ka luqma gir jaaye, to use saaf karke kha le aur us ko shaitaan ke liye na chhode. (Muslim: 5303)

Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu kehte hain ke khoob pet bhar kar khaane peene se bacho, kyun ke is se sihat barbaad hoti hai, bimaari paida hoti hai aur namaaz mein susti paida hoti hai. Thoda kam khaao piyo, is se sihat bahot achchhi rehti hai aur israaf aur fuzool kharchi se bhi koson door raho. (Al darul Mansoor: 3/445)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 49

Nikaah Mein Der Karne Ki Wajah Se Aulaad Gunaah Mein Mubtala Ho Gayi To Us Ka Gunaah Baap Par Hoga

Jab aulaad shaadi ki umar ko pahonch jaayein, to jald az jald un ki shaadi kar deni chaahiye, agar shaadi mein taakheer ki wajah se aulaad galat raaste par chal padi, to us ka gunaah baap ko hoga.

Ek Hadees mein Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ke paas koi aulaad ho, to chaahiye ke woh us ka achchha naam rakhe aur use adab sikhaaye aur jab woh baalig ho jaaye to us ka nikaah kar de, agar aulaad baalig ho gayi aur us ka nikaah na kiya, jis ki wajah se woh gunaah mein mubtala ho gayi to us ka gunaah baap hi par hoga. (Sho'bul imaan: 8666)

Aaj jawaan ladke aur ladkiyon ki waqt par shaadi na hone ki wajah se mu'aashre mein tarah tarah ke gunaah aur badkaariyaan phail rahi hain, phir un ke gunaah aur badkaari mein mubtala hone ke baad maa baap un ko koste rehte hain, haalaanke aulaad ke gunaah mein mulawwis hone ke zimmedaar khud maa baap hi hain. Lihaaza har maa baap apne naujawaan bachchon ka nikaah jald az jald kara dein.
Share on: Telegram | WhatsApp

December 17


December - 16

Hadith of the Day
'A'ishah Radiyallahu 'anha narrates that Nabi Sallallahu 'alaihi wasallam said: If the company of Muslims reaches hundred in number and they pray over a dead person, all of them interceding for him, their intercession for him will be accepted. (Muslim: 2198)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

December 16


December 15


Tohfa-e-Nikaah Part - 48

Rasoolullah ﷺ Bachchon Ki Behtareen Tarbiyat Karte The

Rasoolullah ﷺ ke paas jo bachche rehte the, Aap ﷺ un ki bahot achchhi tarbiyat kiya karte, un ko achchhe akhlaaq sikhaate, un ki chhoti chhoti baaton par nazar rakhte, aur jo baat bhi galat nazar aati, us ki islaah kiya karte the.

Hazrat Umar bin Abi Salma Huzoor ﷺ ki parwarish mein the, ek martaba yeh Aap ﷺ ke saath khaana kha rahe the, islaami tareeqa yeh hai ke khaana apne saamne se khaaya jaaye, magar yeh idhar udhar se kha rahe the, jab Aap ne un ko dekha to toka aur kaha: Aye ladke Allah ka naam lekar khaao, apne daayein haath se khaao aur apne saamne se khaao. Hazrat Umar bin Abu Salma kehte hain ke us ke baad se main isi tareeqe par khaana khaata raha. (Bukhari: 5376)

Lihaaza ham bhi apne bachchon ki behtareen tarbiyat karein.

Share on: Telegram | WhatsApp

December 14


December 13


December 12


Tohfa-e-Nikaah Part - 47

Maa Bachche Ko Baawazu Ho Kar Zikr Karte Huwe Doodh Pilaaye

Bachche ko paidaaish ke baad sab se pehli zaroorat maa ke doodh ki hoti hai, maa ka doodh bachche ko pilaana sirf bachche ke liye hi nahein balke khud maa ke liye bhi intihaayi faaidamand hota hai, is se maa sihatmand rehti hai aur saath hi is se bachche ke saath unsiyat paida hoti hai, maa ko is haq ki adaaigi mein kotaahi nahein karna chaahiye, apni zimmedaari balke apna farz samajh kar bachchon ko doodh pilaayein. Doodh pilaate waqt maa ko chaahiye ke woh baawazu ho, bismillaah padh kar pilaaye, doodh pilaate waqt zabaan se Allah Ta'ala ka zikr jaari rakhe aur dil wa dimaag ko paakiza aur saaf rakhe kyun ke us ki zabaan se nikle huwe alfaaz aur us ke dili jazbaat bachche par zaroor asar andaaz hote hain. Haan agar maa bimaar ho ya bahot kamzor ho aur us ka doodh bachche ko nuqsaan karta ho, to kisi aisi nek aur deendaar aurat ka intikhaab kare jis ka doodh bachche ke jism ke liye mufeed ho.

Share on: Telegram | WhatsApp