Jannat Part - 45 (Final)

“JANNAT KE HASEEN MANAZIR”
KITAB ME SE MSGS LIKH KAR AAP HAZRAT TAK BHEJNE KI SA'ADAT CHAUTHE (4th) SAAL BHI HASIL HO HI GAYI ALHAMDULILLAH,

AAP KO JO MSGS AUR IMAGES MILI USME MERA TA'AWUN FARMANE WALE

HZ. MUFTI IMRAN SAHAB MEMON DB.
(Ustaze darul uloom rampura surat)

HZ. MUFTI MUHAMMAD AADIL SAHAB USMANI DB.
(Ustaze darul uloom asharafiyah, rander, surat)

HZ. MUFTI FARID SAHAB KAVI DB.
(Ustaze darul Qur'an Jambusar,Bharuch)

HZ. MAVLANA IBRAHIM SAHAB ALYANI DB.
(Ustaze darul uloom Rampura,  Surat)

AUR DUSRE ULAMA E KIRAAM AUR IS KI IMAGE BANANE ME MERI MADAD KARNE WALE JANAB FARID BHAI SURTI (Mumbai)
AUR MSGS KI SPELING GALATIYAN KO SUDHARNEWALE JANAB FARID BHAI MORBI WALA (Surat)
AUR SABHI AHBAAB JINHONE IN MSGS KO DUSRON TAK FORWARD KIYA IN SABHI HAZRAT KA ME TAHE DIL SE SHUKR GUZAR HUN.

AUR DUAA HAI KE ALLAH TABARAK WA TA'ALA ISEY APNI BAARGAAH ME QUBUL FARMAYE AUR MUJHE AUR TAMAAM MUTA'ALLIKIN AUR QARIEIN KO APNI JANNAT SE A'ALAA SE A'ALAA MAQAAMAT PAR FAAIZ KARTE HUWE APNI TAMAAM JALILUL QADR NE'MATON SE MAALAAMAAL FARMAYE.

AAMEEN.


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 43

JANNAT KE MUSTAHIQ KAISE BANE

Huzur Akram صلی الله عليه وسلم ne farmaya:

JO SHAKHS AISI HAALAT ME MAR GAYAA KE, WOH GURUR (Ghamand), KHAYANAT AUR KARZ SE PAAK THA TO WOH JANNAT ME GAYAA.

Tirmizi

QAYAMAT ME ALLAH TA'ALA FARMAYENGE: WOH LOG KAHAAN HAI JO SIRF MERE LIYE LOGO SE MUHABBAT KIYA KARTE THE, AAJ ME UNKO APNE SAAYAH ME JAGAH DUNGA.

Muslim

JAB KOI MUSALMAN APNE MUSALMAN BHAI KI IYAADAT ME JATA HAI TO JANNAT KE BAAGH (GARDEN) ME HOTA HAI.

Muslim

JANNAT KE 8 DARWAZAH HAI, 7 TO BANDH HAI LEKIN 1 KHULA HUWA HAI, JIS DIN AAFTAB MAGRIB SE NIKLEGA TO WOH DARWAZAH BHI BANDH HO JAYEGA, FIR KISI GUNAHGAAR KI TAUBA QUBUL NAHI HOGI.

Tibrani

MUSALMAN BANDE KI TAUBA GHUNGAROO BOLTE WAQT BHI QUBUL KAR LI JAATI HAI.

Tibrani

(Ghoongaroo Bolna Muhawrah Hai, Marte Waqt Jab Dam Galey Me Aa Jata Hai, Us Waqt Ek Khaas Aawaz Khar-Kharr-Kharrr Ki Paida Hoti Hai, Usey Ghungaroo Bolna Kehte Hai).


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 42

JANNAT KE MUSTAHIQ KAISE BANE

Huzur Akram  صلی الله عليه وسلم ne farmaya:

JISNE PARWARISH KI 3 YA 2 LADKIYON KI, 3 YA 2 BEHNO KI, YAHAAN TAK KE WOH BAALIG HO GAYI YA MAR GAYI, TO JANNAT ME MEIN AUR WOH IN 2 UNGLIYON KI TARAH MILE HUWE HONGE.

IbneHibban

(Balig Ho Jaaye Ya'ani Nikah Ho Jaye)

Bukhari ki ek riwayat me hai ke fir aap صلی الله عليه وسلم Ne apni dono ungliyon ko milaa kar bhi dikhaya

 GUSSAH NA KIYA KAR, TUJH KO JANNAT MIL JAYEGI.

Tabrani

IMAAM-E-AADIL JANNATI HAI.

(Adl ya'ani insaaf karna bahot badi neki hai, aur Allah ki makhluq par zulm karna bada gunah he, Aadil baadshah duniya me Allah ta'ala ke bando ko raahat pahonchata he, is liye woh Allah ta'ala ko bahot mahboob hota hai aur usko jannat se nawaazte he.)

Muslim

EY QURAISH KE NAWJAWANO..! ZEENA SE BACHO, APNI SHARMGAHO KI HIFAZAT KARO, JISNE APNE SATAR KO BACHAYA USKE LIYE JANNAT MUQARRAR KAR DI GAYI.

Hakim

HAYAA IMAAN HAI, IMAAN KA BADALAH JANNAT HAI.

Tirmizi Batawwalahu


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 41

JANNAT KE MUSTAHIQ KAISE BANE

Huzure Akram صلی الله عليه وسلم  ne farmaya:

JIS AURAT NE IS HAAL ME INTEQAL KIYA KE, USKA SHOHAR US SE RAAZI THA WO BAHISHT (jannat) ME DAKHIL KAR DI GAYI.

Tirmizi

KHAWIND KE KHAFAA (naaraaz) HONE PAR, JO AURAT KHAWIND SE KEHTI HAI: JAB TAK TU RAAZI NA HOGA ME NA SOUNGI, YEH MERA HATH TERE HATH ME HAI. TO AISI AURAT JANNATI HAI.

Ibrani Battawallahu

JO SHAKHS APNI LADKI KO ZINDA DARGOR NA KARE (Zinda Na Gaare), NA USKO ZALIL SAMJHE, AUR NA BETEY KO BETI PAR MUQADDAM KARE TO ALLAH TA'ALA AISE BANDE KO JANNAT ME DAKHIL KAREGA.

Abu Dawood

FAIDAH
Betey Ko Bartav Me Beti Par Tarjih/Badhotri Na De, Balke Dono Ke Saath Barabar Sulook Kare.


 Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 40

JANNAT KE MUSTAHIQ KAISE BANE

Huzur Akram صلی الله عليه وسلم ne farmaya:

HAJJ AUR UMRAH KO MILAAO, YEH DONO FAKHR AUR ZUNUB (gunah) KO DUR KARTE HAI, YEH DONO FAKHR AUR GUNAHO SE IS TARAH INSAN KO PAAK KAR DETE HAI JIS TARAH AAG KI BHATTHI SONE-CHANDI AUR LOHE KE MEL-KUCHAIL KO DOOR KAR DETI HAI, HAJJE MABRUR KA BADALAH JANNAT HI HAI.

Tirmizi

FAIDAH
Hajj aur Umrah ko Milane ka Matlab yeh hai ke: Kiraan karey, ya'ani Ek hi Ehram se Dono ko Adaa karey.

JO AADMI MULAAIM AUR LEN-DEN KA NARM HOTA HAI, TO ALLAH TA'ALA US PAR DOZAKH KI AAG KO HARAM KAR DETE HAI.

Haakim

TEEN AADMI SAB SE PEHLE JANNAT ME JAYENGE

1* SHAHID FI SABILILLAH

2* GULAM JO APNE AAQA KI KHIDMAT KE SAATH KHUDA KI IBADAT BHI ANJAAM DETA HAI

3* WO AYAALDAAR (biwi bachcho wala) JO BA-WAJUD KASRAT-E-AYAAL (zinda biwi bachcho) KE MUTTAQI AUR PAARSA HO.

Ashabussunnan


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 39

JANNAT KE MUSTAHIQ KAISE BANE

Huzur Akram صلی الله عليه وسلم ne farmaya:

JO SHAKHS ALLAH KE LIYE MASJID TA'AMIR KARTA HAI TO USKA GHAR JANNAT ME HOGA.

Tirmizi

JO SHAKHS MUJH SE VA'ADAH KAR LE KE WOH LOGO SE SAWAL NAHIN KAREGA (logo se nahin maagega) TO ME AISE SHAKHS KE LIYE JANNAT KA ZAAMIN HONE KO TAIYYAR HUN.

Nasai, Ahmed, IbneMaja

JIS SHAKHS NE HUSN-E-AITEQAD (pure bharose) AUR SAWAB KI NIYYAT SE QURBANI KI TO YEH QURBANI USKE LIYE DOZAKH SE NAJAAT KA ZARIAH BAN JAYEGI.

Tibrani


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 38

JANNAT KE MUSTAHIQ KAISE BANE

Huzur Akram Sallallahu Alayhi Wasallam ne farmaya:

JO SHAKHS ILM KI TALASH ME KISI RASTA PAR CHALTA HAI, TO ALLAH TA'ALA USKE TALASH-e-ILM KI BARKAT SE US SHAKHS KE LIYE JANNAT KA RASTA AASAAN KAR DETA HAI.

Muslim

JAB TUM JANNAT KI KIYARIYON KE PAAS SE GUZRA KARO TO UNSE KUCH HASIL KAR LIYA KARO.

Sahaba rd. ne arz kiya

YA RASULALLAH..! SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM, JANNAT KI KIYARIYAN KYA HAI..?

Aap ne farmaya:

JANNAT KI KIYARIYAN YE HI ILMI MAJALIS HAI.

Tabrani


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 37

JANNAT KE MUSTAHIQ KAISE BANE

Huzur Akram Sallallahu Alayhi Wasallam ne farmaya:

JO KOI SHAKHS ACHCHHI TARAH WUZU KARTA HAI AUR WUZU KE BAAD YE KALMAT KEHTA HAI

 أشهد أن لا إله إلا الله وحده لا شريك له و أشهد أن محمداً عبده ورسوله.

Ash,hadu alla ilaha illallahu wahdahu la sharika lahu wa ash,hadu anna muhammadan abduhu wa rasooluhu 

TO AISE SHAKHS KE LIYE JANNAT KE 8 (aatho) DARWAZE KHOL DIYE JATE HAI

Muslim

AMIRUL MU'AMININ HZ. UMAR Rd. KI RIWAYAT SE KALMA-e-SHAHADAT KE SATH YE DUA BHI MAZKUR HAI.

 اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين

Allahummaj alni minattawwabeen waj alni minal mutatahhireen.

Tirmizi

WUZU KE BAAD 2 RAKA'T TAHIYYATUL WUZU PADHNE SE JANNAT WAJIB HO JATI HAI.


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 36

JANNAT KE MUSTAHIQ KAISE BANE

Huzur Akram Sallallahu Alayhi Wasallam ne farmaya:

JO KOI SHAKHS ACHCHHI TARAH WUZU KARTA HAI AUR WUZU KE BAAD YE KALMAT KEHTA HAI

 أشهد أن لا إله إلا الله وحده لا شريك له و أشهد أن محمداً عبده ورسوله.

Ash,hadu alla ilaha illallahu wahdahu la sharika lahu wa ash,hadu anna muhammadan abduhu wa rasooluhu

TO AISE SHAKHS KE LIYE JANNAT KE 8 (aatho) DARWAZE KHOL DIYE JATE HAI

Muslim

AMIRUL MU'AMININ HZ. UMAR Rd. KI RIWAYAT SE KALMA-e-SHAHADAT KE SATH YE DUA BHI MAZKUR HAI.

 اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين

Allahummaj alni minattawwabeen waj alni minal mutatahhireen.

Tirmizi

WUZU KE BAAD 2 RAKA'T TAHIYYATUL WUZU PADHNE SE JANNAT WAJIB HO JATI HAI.


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 36

JANNAT KE MUSTAHIQ KAISE BANE

Huzure Akram صلی الله عليه وسلم Ne farmaya:

JISNE BUDH, JUME'ARAT AUR JUM'AH KA ROZAH RAKHA, USKO DOZAKH SE AAZAD KAR DIYA JATA HAI, AUR USKE LIYE JANNAT ME MOTI, MUNGE, YAAQUT KA MAHAL BANAA DIYA JATA HAI.

Tabrani

JISNE BUDH AUR JUME'ARAT KA ROZAH RAKHA USKO DOZAKH SE AAZAD KAR DIYA JATA HAI.

Abu Ya'ala

AUR ALLAH TA'ALA US SHAKHS KE LIYE JANNAT ME AISA MAKAAN BANA DETE HAI JISKA BAATIN ZAAHIR SE, AUR ZAAHIR BAATIN SE  (Transparent) NAZAR AATA HAI.

Tabrani


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 35

MAUT SE AMAN PAR JANNATIYON KA SHUKRANA

AAYATE KARIMA
(tarjuma)

"SAB TA'ARIFE US ALLAH TA'ALA KE LIYE HAI, WOH MARNE SE MAHFUZ HO JAYENGE"

HZ. YAZEED RAQQASHI RH. NE FARMAYA: JANNAT WALE MAUT SE MAHFUZ HO JAYENGE, UNKA AISH KHUB PAAKIZAH AUR MAZEDAR HO JAYEGA, YEH BIMARIYON SE MAHFUZ HO JAYENGE.

HUM UNKO ALLAH TA'ALA KE QURB WA JAWAAR ME TAWEEL QAYAAM KI MUBARAKBAAD DETE HAI,

FIR AAP RONE LAGEY, HATTA KE AAP KE AANSOO DAADHI PAR BEHNE LAGE.

JANNAT CHHODNE KO DIL HI NA CHAHEGA

ALLAH TA'ALA IRSHAD FARMATE HAI:

"BESHAQ JO LOG IMAAN LAYE AUR UNHONE NEK KAAM KIYE UNKI MEHMANI KE LIYE FIRDAUS (ya'ane bahisht) KE BAAG HONGE JIN ME WOH HAMENSHA RAHENGE (na unko koi nikalega) AUR NA WOH WAHAAN SE KAHIN OR JAANAA PASAND KARENGE.

SURAH KAHF 107 - 108


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 34

Hz. Mufti Imran ismail memon sahab
(Ustaze darul uloom rampura,  surat gujarat, india)
Likhte hai ke


ALLAH TA’ALA FARMATE HAI:

AAO..! JANNAT KI KITNI NE'AMATEN BATAAUN !

KITNA NAAZIL KARUN..!

NABI صلی الله عليه وسلم  KI ZUBAANE MUBARAK SE KITNA KEHLVAAUN..!

AB TO AE BANDE ! TERE LIYE YEH DO JAME'A AAYAT KAAFI HAI.

QUR'AN KI AAYAT KA MAFHOOM HAI KE:

“JANNAT ME HAR WOH CHEEZ MILEGI, JIS KI NAFS AUR DIL KHAWAHISH KAREGA. AUR HAR WOH CHEEZ DEKHNE KO MILEGI JIS KO DEKHNE ME LAZZAT AUR MAZAA AATI HO”

Surae Zukhruf  Paarah 25 Aayat 71

DUSRI AAYAT KA MAFHOOM HAI:

“JANNAT ME JO TUM MAANGOGE WOH MILEGA”

Surah E Haameem Sajda Para 24 Aayat 31

IN DO AAYATON ME INSAN KE WAHAMO-GUMAAN, KHAWABO-KHAYAAL KI AUR DUNIYA KI HAR MAZE KI CHEEZ AUR TAMAAM NE’AMATEN AA JATI HAI. AUR TAMAAM TAMANNAYEN PURI HO JATI HAI.

TUMHARE ANDAR MAANGNE KI AUR KHAWAHISH KARNE KI KITNI TAAQAT HAI BOLO..!

AAWAAZ KARO ! HAR CHEEZ WAHAAN FOURAN HAZIR HAI..!
BAS DUNYA ME REHTE HUWE GUNAAH KAR KE FANAA HONE WALE MAZE CHHOD DO..!! TO YEH MAZE AUR IS SE BADH KAR NA FANAA HONE WALE TAMAAM MAZE JANNAT ME UDAAOGE.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

 Hz. Mufti Muhammad Adil Usmani sahab
(Ustaze darul uloom ashrafiya rander, surat gujarat, india)
Likhte hai ke


MUHTARAM DOSTO OR BUZURGO, AB TAK HUM NE JANNAT KE BAARE ME JO KUCH JAANA YE SIRF MA'AMULI AUR HALKI SI JHALAK HAI. WARNA JANNAT KI NE'AMATON KA SAHIH ANDAZAH TO WAHAAN JAA KAR HI HOGA. DUNIYA ME KISI INSAAN KE BAS KI BAAT HI NAHI KE WOH JANNAT KI NE'AMATON KO BAYAAN KARE.

WAHAAN ALLAH NE AISI AISI NE'AMATEN RAKHI HAI JO AANKHO NE KABHI DEKHI NAHIN HOGI, KAANO NE KABHI US KA TAZKERAH SUNA NAHIN HOGA, AUR DIL ME KABHI US KA KHAYAAL NAHIN AAYA HOGA.

YEH TO RASULULLAH صلی الله عليه وسلم KA HUM PAR AHSAAN HAI KE AAP NE HAMEN YEH CHAND NE'AMATEN BAYAAN KI, TAAKE HAMEN IS KE HAASIL KARNE KA SHAUQ AUR RAGBAT PAIDA HO.

HUM APNE RAB KI IBAADAT VA MA'AREFAT KE ZARIYAH US KO RAAZI KAREY AUR WAHAAN KI DAAEMI (hamensha ki) NE'AMATON KA APNE AAP KO MUSTAHIQ BANAAE.

HAQ TAALA APNE FAZL WA KARM SE HAMEN YEH NE'AMATEN ATAA FARMAE AUR JANNAT ME A'ALA WA BAALA MUQAAM NASIB FARMAYE.

( AAMEEN )


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 33

JANNAT KI KUNJI (key) KALIMAH

“LAA ILAAHA ILLALLAH”
JANNAT KAFL (taale/locks) KI KUNJI HAI, LEKIN HAR KUNJI KE LIYE DANDANO (daanto) KA HONA ZARURI HAI, AGAR KUNJI HAI AUR DANDANE NA HO TO KAFL NAHIN KHUL SAKTA,

ISI TARAH AGAR KALIMA E TAUHID KE SAATH A'AMAALE SAALIHA NA HO TO JANNAT KA KAFL KHULNA BHI MUSHKIL HAI.

Bukhari fee Tarjumatul-baab

PANCH (5⃣) A'AMAAL AISE HAI KE AGAR KOI AADMI EK DIN ME UN PANCH PAR AMAL KAR LE TO JANNATI LIKH DIYA JAYEGA.

1] KISI BIMAR KI IYADAT KARNA.

2] JANAAZAH ME SHAMIL HONA.

3] US DIN KA ROZAH RAKHNA

4] JUMAA KE LIYE JALDI TAYYARI KARNA

5] EK GULAM AAZAD KARNA.

Mafhume Hadis Majmauuzzawaed 2: 169)

JO KOI INME SE KISI EK PAR AMAL KAREGA TO ALLAH US KA ZAAMIN HOGA.

1] KISI BIMAR KI IYADAT KARNA

2] JANAAZAH KE SAATH JANA.

3] ALLAH KI RAH ME GAAZI BANNA.

4] KISI IMAAM WA AMEER KE PAAS FAQT US KI TA'AZIM KI NIYYAT SE JANA.

5] APNE GHAR ME IS NIYYAT SE BETHA RAHAA KE LOG US SE SALAMAT RAHE OR WO LOGON SE SALAMAT RAHE.

Mafhume Hadis Musnad Ahmed 5: 241

AISE A'AMAAL JO JANNAT ME DAKHIL KAR DE.

AGAR CHE BAAT MUKHTASAR KI HAI MAGAR US KA MAQSAD TAWEEL HO.

JAAN KO AAZAD KAR OR GARDAN CHHUDA. (Jaan aazaad karne ka matlab yeh hai ke aazad karne me tu akela ho aur jaan chhudane ka matlab yeh hai ke tu uski qimat me sharik ho)

AGAR TUJH ME US KI TAAQAT NA HO TO BHUKE KO KHANA KHILA, PYASE KO PAANI PILA, NEKI KA HUKM DE AUR BURAAI SE MANAA KAR.

AGAR US KI BHI TAQAT NA HO TO APNI ZUBAN KO KHER KE ALAWAH TAMAM BATON SE ROK DE.

Mafhume Hadis Musnad E Ahmad 4: 299

JIS SHAKHS KI AISI HAALAT ME MAUT AAYI KE USKA YAQEEN AUR AE’TEQAD IS AMR (baat) PAR THA KE – SIWAYE KHUDA KE KOI MA’ABUD NAHI HAI TO WOH SHAKHS JANNAT ME DAKHIL HOGA.

Muslim

JO SHAKHS AZAAB SE BACH KAR SHURU ME HI JANNAT ME JANE KA KHWAHISMAND HAI TO USKO A'AMAALE SAALIHA KI BE-HAD ZARURAT HAI, DOZAKH SE BACH KAR JANNAT ME CHALE JANA HI HAQUIQUI KAAMYABI AUR FALAAH HAI.

AHLE JANNAT KO JANNAT KI BASHARAT, A'AMAALE SALEHA KI TAFSIL “HAZRAT MAULANA ASHRAF ALI THANWI RAHMATULLAH” KI KITAAB “JANNAT KI KUNJI” KA MUTA’ALA FARMAYE.


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 32

HUZUR صلی الله عليه وسلم NE FARMAYA:
''MERI QABR AUR MERE MIMBER KE BICH KI JAGAH JANNAT KE BAGO ME SE EK BAAG HAI''

TO HUZUR KE MUBARAK HUJRE AUR MIMBER SHARIF KE DARMIYAN KI JAGAH HAQIQAT ME JANNAT KE BAGO ME KI EK KIYAARI HAI, AUR QAYAMAT KE DIN WOH JAGAH FIRDAUS-E-A'ALA ME MUNTAKIL HO JAYEGI AUR YEH JAGAH ZAMEEN KI DUSRI JAGAHO KI TARAH FANAA AUR HALAAK NA HOGI.

Madarijunnubuwwah-9, Pg-116

MUSHRIKIN KI NA-BAALIG AULAD JIN KI BAALIG HONE SE PEHLE MAUT AA GAYI WOH SHIRK TAK NAHIN PAHONCHE THE JIS TARAH SE UNKE WALIDAIN PAHONCHE HAI, ISLIYE WOH JANNAT ME HONGE AUR WOH AHLE JANNAT KE KHADIM HONGE.
(Wallahu Aa’alam)

Kanzul Ummal -39306

LOG JAB QABRON SE UTHENGE TO QAYAMAT KE DIN UNKI ZUBAN "SURIYANI" HOGI AUR JAB JANNAT ME DAKHIL HO CHUKENGE TO ZUBAAN "ARBI" HOGI.
                               
Albadurussafurah -21806

JAB JANNATI JANNAT ME DAKHIL HO CHUKEGA TO ALLAH FARMAYENGE:
''KOI AUR NE'AMAT CHAHTE HO TO ME TUMHE ATAA KARU..?''

WOH ARZ KARENGE:
''KYA AAP NE HAMEN JANNAT ME DAKHIL NAHIN KIYA.? AUR DOZAKH SE NAJAAT NAHIN BAKHSI.? HAMEN KYA HO GAYA HUM KYUN RAZI NAHI HONGE..! JAB KE AAP NE HAMEN ITNA NAWAZA HAI KE APNI MAKHLUQ ME SE ITNA KISI KO NAHIN NAWAZA''

FIR ALLAH TA'ALA FARMAYENGE:
''ME TUMHE IS SE AFZAL NE'AMAT ATAA NA KARU..?''

JANNATI ARZ KARENGE:
''IS SE AFZAL NE'MAT KAUNSI HAI..?''

FIR ALLAH TA'ALA PARDE HATAYENGE, TO JANNAT WALO KO AISI KOI NE'MAT NAHIN DI GAYI JO UNKO ALLAH KE DEEDAR SE ZIYADAH MEHBUB HOGI. WOH ALLAH TA'ALA SHANUHU KO US KE NOOR WA AZMAT WA JALAAL SAMET ZIYARAT KAR SAKENGE. YEH PARDA MAKHLUQ KA APNA HOGA, NA KE ALLAH TA'ALA KE SAMNE HOGA.

A'ALA DARAJAH KA JANNATI ALLAH KI SUBAH WA SHAM ZIYARAT KAREGA.

ALLAH TA'ALA JANNAT ME MO'MININ KI TARAF MUSHKURATE HUWE TAJALLI FARMAYENGE. FIR ALLAH FARMAYENGE:
''ME AAP SAB KO APNI RAZAA AUR KHUSNOODI ATAA KARTA HUN. AB KE BAAD TUM PAR KABHI NARAZ NAHIN HOUNGA''

Mafhum- Ibne Hibban

JO HAZRAAT, ALLAH TA'ALA KI ZIYARAT AUR TAJALLI KE MAZEED TAFSILI HAALAT KA MULAHEZA KARNA CHAHE TO WO "HAFIZ IBNE QAYYIM RH." KI KITAB "HAADUYUL ARWAAH" KA BAAB NUMBER-65 MULAHEZA FARMAYEN.


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 31

JANNAT ME EK HOOR HAI JISKA NAAM “LA’AIBA” HAI, AGAR WOH APNA LUAABE DAHAN (kadwe) SAMANDAR ME DAAL DE, TO SAMANDAR KA TAMAAM PAANI SHIRIN (mitha) HO JAYE.

USKE SEENE PAR YEH LIKHA HUWA HAI

“JO SHAKHS YE PASAND KARTA HAI KE USKO MERE JAISI HOOR MILE TO US KO CHAHIYE KE MERE PARWARDIGAR KI FARMABARDARI WALE AMAL KAREY”

Kartabee

JANNAT WALE JANNAT ME BHI ULAMA E KIRAAM KE MOHTAJ HONGE, AUR WOH IS TARAH SE KE

JANNATI HAR JUM’AA KO ALLAH KI ZIYARAT SE MUSHARRAF HONGE. ALLAH UNSE FARMAYENGE:

''TUM JO CHAHO TAMANNA KARO''

US WAQT YEH JANNATI ULAMA E KIRAAM KI TARAF MUTAWAJJEH HONGE AUR PUCHHENGE :

''HUM APNE RAB KE SAMNE KIS CHIZ KI TAMANNA KAREY''..?

TO ULAMA UNHE BATAYENGE KE IS-IS TARAH KI TAMANNA KARO.

CHUNANCHE YE HAZRAT ULEMA E KIRAAM KE USI TARAH SE MOHTAJ HONGE JIS TARAH YEH UNKE DUNIYA ME MOHTAJ HAI.

Daylami

HZ. SULAIMAN BIN ABDURRAHMAN RH. FARMATE HAI KE: ''MUJHE (upar ki) YEH BAAT PAHOCHI WOH IS TARAH SE HAI KE   JANNATIYON KE PAAS UNKE RAB KI TARAF SE UNKE ELCHI (embessador) HAZIR HONGE, AUR KAHENGE KE AAP HAZRAT APNE RAB SE (ne’mate) MAANGO,

TO WOH KAHENGE KE HUM NAHIN JANTE KE HUM KYA MANGE..!

FIR UN ME SE EK DUSRE SE KAHEGA KE CHALO.. UN ULAMA KI TARAF, JAB HAMEN DUNIYA ME KOI MUSHKIL MAS'ALAH PAISH AATA THA TAB BHI TO HUM UNKE PAAS JAYA KARTE THE,

FIR WOH (un ulama ke paas ja kar) KAHENGE HAMARE PAAS HAMARE RAB KI TARAF SE EK ELCHI (ambassador) TASHRIF LAYE HAI KE ALLAH HAMEN KUCHH MAANGNE KA HUKM FARMATE HAI JAB KE HAMEN ILM NAHIN KE HUM KYA MANGE..?

TO ALLAH TA’ALA ULAMA KE SAMNE (un ne’mato ka) IZHAAR KAR DENGE TO ULAMA UN AWAAM AHLE JANNAT KO BATAYENGE KE TUM AISA AISA SAWAAL KARO….

CHUNANCHE WOH (waise hi) SAWAL KARENGE AUR UNKO WO CHIZEN ATAA KI JAYEGI.

Musnadul Firdaus Daylami

Aye Jannat ke talabgar dosto...! Ulamao ki khoob qadr karo. 


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 30

NICHE LIKHE HUVE MSG ME SIRF TITLE'S LIKHE GAYE HAI,
TAFSIR KE LIYE
“JANNAT KE HASEEN MANAZIR”
KITAAB KA MUTA'ALA KIJIYE. 


JANNTI SOHBAT BHI KARENGE,

JANNATI KE PAAS 100 MARDO KE BARABAR SOHBAT KARNE KI TAQAT HOGI,

EK DIN ME 100 AURTON KE PAAS JA SAKEGA,

JANABAT KASTURI BAN KAR KHARIJ HO JAYEGI,

AURAT SOHBAT KE BAAD KHU-BA-KHUD PAAK HO JAYEGI,   WOH FIR KUWARIYAN HO JAYEGI,

QURBAT KI LAZZAT JISM ME 70 SAAL TAK BAAQI RAHEGI,   HAR DAFA DEKHNE SE NAYI KHWAHISH PAIDA HOGI,

JANNATI EK SE EK HOOR KI TARAF FIRTA RAHEGA,   NAYI HOOR USEY APNE PAAS BULAYEGI,

JAB KOI JANNATI JANNAT ME AULAD KI KHWAHISH KAREGA TO USKA HAMAL AUR WILADAT AUR UMAR KA BADHNA USI WAQT HO JAYEGA JIS TARAH SE WOH CHAHEGA

(yani woh chahega to aulad hogi
nahin chahega to nahin hogi. Wallahu aa’alam)

JANNATI KI HOOREN TARANE/GEET/GAANE BHI GAYEGI..

(Is ki Tafsil kitab me padhey)

JAB HOOREN GAYEGI TO DUNIYAWI BIWI JANNAT ME HOORON KE TARANO KA JAWAAB IS TARAH DENGI KE:

HAZRAT AYESHAH RD. FARMATI HAI KE:
JAB HOOR-E-EIN YEH TARANA KAHEGI TO DUNIYA KI MOA'MIN AURTEN IS TARANE KE SATH JAWAB DEGI KE :

“HAMEN NAMAZE PADHNE KA SHARF HASIL HUWA HAI,
TUMNE NAHIN PADHI,
HUM NE ROZE RAKHE HAI,
TUMNE NAHIN RAKHE,
HUM NE WUZU KIYE HAI,
TUM NE WUZU NAHIN KIYE,
HUMNE ZAKAT WA SADQAT ADAA KIYE HAI,
TUM NE NAHIN KIYE”

HZ. AYESHAH RD. FARMATI HAI KE IS JAWAB KE SAATH DUNIYA KI AURTEN HOOR-E-EIN PAR GAALIB HO JAYEGI.


Kartabee

Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 29

JAB YE (Duniyawi Biwi Jannat Me) JANNATI KE SAMNE KHADI HOGI TO USNE YA'AQUT KE PAZEB PAHAN RAKHI HOGI, 

JAB USSE QURBAT KI JAYEGI TO USKI PAZEBON SE JANNAT KE PARINDE KI HASEEN AAWAZE SUNI JAYEGI,

JAB WOH USKI HATHELI KO MASLEGA TO WOH HADDI KE GUDE SE ZIYADAH NARM HOGI, AUR USKI HATHELI SE JANNAT KE ITR (ATTAR) KI KHUSBOO SUNGHEGA,

POSHAKO PAR KUCHH SONE KE KANGAN HONGE, KUCHG CHANDI KE, KUCHH LU’A-LU’A KE, YEH POSHAK MAKDI KE JAAL SE ZIYADAH BAARIK HOGI,

US BIWI KI PINDALI KA GUDA BHI NAZAR AATA HOGA,

USKE POSHAK KI DAAYI (RIGHT) AASTIN PAR NOOR SE YEH LIKHA HOGA KE

“SAB TARIFE ALLAH HI KE LIYE HAI JISNE APNA WA’ADA SACHCHA KAR DIKHAYA” 

AUR BAAYI (LEFT) AASTIN PAR NOOR SE YEH LIKHA HOGA KE

‘’SAB TARIFE ALLAH HI KE LIYE HAI JISNE HUM KO GAM SE DOOR KIYA’’ 

USKE JIGAR PAR NOOR SE LIKHA HOGA
“EY MERE DOST..!  ME AAP KI HUN, ME AAP KI JAGAH KISI AUR KO NAHIN CHAHTI” 

US AURAT KA SEENA MARD KA AAYNA HOGA, AUR YEH YA'AQUT KI TARAH SAAF-SHAFFAQ HOGI, HUSN ME MARJAN HOGI, APNE KHAWIND KI AASHIQ HOGI, SAFEDI ME MEHFUZ RAKHE HUWE ANDE KI TARAH HOGI, 25 SAAL KI UMAR ME HOGI, KUSHADA DAANTO WALI, MUSHKURAE TO USKE AGLE DAANTO KA NOOR CHAMAK UTHEGA,

AGAR MAKHLUKAT USKI GUFTAGU SUN LE TO US PAR SAB NEK AUR BAD USKE DIWANE HO JAAYE, 

JAB YEH KHADI HOGI TO USKI RAAN KA NOOR (Aur Husn), AUR USKI SURIN KA HUSN AUR NOOR, AUR USKE PET KA HUSN, AUR USKE SEENE KA HUSN AUR NOOR, AUR USKE CHEHRE KA HUSNO NOOR, YEH SAB USKE BADAN KE EK DUSRE HISSAH SE 1 LAKH GUNA ZIYADAH HOGA.

US PAR YA'AQUTE AHMAR KA TAAJ HOGA, USKI ZULFEN AUR MEDHIYAN USKE SEENE PAR PADTI HOGI, FIR USKI SURIN PAR PADTI HOGI, FIR USKE QADMO PAR…
HATTA KE WOH UN KO KASTURI PAR GHASITTI HOGI, 

DAAYI TARAF 1-LAKH NAUKARNIYAN, HAR ZULF 1 NAUKRANI KE HAATH ME HOGI,   YEH BIWI, ALLAH KE DOST, APNE KHAWIND US JANNATI KE SAAMNE KHADE HO KAR USKI HAIRAT AUR SUROOR KA MAZAA LE RAHI HOGI, AUR USSE MASROOR HO KAR US PAR FIDAA HO RAHI HOGI.. 

JAB WOH 1 – LAKH ANDAZ SE CHAL KAR BAITHEGI TO USKE SURIN TAKHT SE BAHAR NIKAL RAHE HONGE. IN KAIF-MANAZIRE HUSNO JAMAAL KO DEKH KAR JANNATI AISA BE-CHEN AUR BE-QARAAR HOGA KE AGAR…   ALLAH TA’ALA NE MAUT NA AANE KA FAISLAH NA KIYA HOTA TO YEH KHUSHI KE MAARE MAR JATA….!   AUR ALLAH NE USEY TAAQATE BARDAST NA DI HOTI TO YEH USKI TARAF IS KHAUF SE DEKH BHI NA SAKTA KE USKI BINAAI KHO JAAYE…!

YEH APNE KHAWIND SE KAHEGI: EY VALIYALLAH..! KHUB AISH KARO, JANNAT ME MAUT KA KAHIN NAAMO NISHAN BHI NAHIN HAI.

سبحان الله


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 28

ACHANAK YEH APNA SAR UTHAYEGA AUR DEKHEGA, KE EK AUR BIWI USKO ZHANK LEGI, AUR PUKAR KAR KAHEGI:

EY DOST-E-KHUDA..! KYA HAMARA AAP ME KOI HISSAH NAHIN..?

JANNATI KAHEGA:
EY MERI MEHBUBA TUM KAUN HO.?

WO KAHEGI ME UN BIWIYON ME SE HUN JINKE MUTALLIQ ALLAH TA’ALA NE IRSHAD FARMAYA HAI
“HAMARE PAAS OR BHI HAI”

CHUNANCHE USKA WO TAKHT YA SONE KI 2 PAR WALI KURSI UDKAR US BIWI KE PAAS PAHONCH JAYEGI,

JAB YEH APNI IS BIWI KO DEKHEGA TO WOH US PEHLI BIWI KE NOOR SE 1 LAKH HISSAH ZIYADAH HASEEN HOGI.

YEH IS SE BHI 40 SAAL BAGALGIR RAHEGA, NA YEH ISSE UKTATI HOGI.....  NA WOH USSE UKTATA HOGA....

JAB YEH ISSE SAR UTHA KAR DEKHEGA TO USKE MAHAL ME EK NOOR LASHKARA MAREGA,

TO YEH HAIRAN HO KAR KAHEGA:
سبحان الله....!
KYA KISI SHAN WALE FARISHTE NE ZHANK KAR DEKHA HAI YA MERE RAB NE APNI ZIYARAT KARAYI HAI..!!!

FARISHTAH USKO JAWAB DEGA:
NA TO KISI FARISHTE NE AAP KI ZIYARAT KI HAI, AUR NA HI AAP KO AAP KE PARWARDIGAR NE ZHANK KAR DEKHA HAI.

WOH (JANNATI) KAHEGA FIR YEH NOOR KISKA THA..?

FARISHTAH KAHEGA : AAP KI DUNIYA KI BIWI KA, YEH BHI JANNAT ME AAP KE SATH HAI, ISI NE AAP KI TARAF JHANK KAR DEKHA HAI, AUR AAP KE BAGALGIR HONE PAR MUSKURAI HAI..! YEH JO AAP NE APNE GHAR ME DEKHA HAI WOH TO USKE AGLE DAANTO KA NOOR HAI..!

CHUNANCHE YEH JANNATI USKI TARAF APNA SAR UTHA KAR DEKHEGA TO WOH (Duniya Ki Biwi) KAHEGI :
EY VALIULLAH..! KYA HAMARA AAP ME KOI NASIB NAHIN..?

TO WOH PUCHHEGA EY MERI DOST..! AAP KAUN HAI.?

WO KAHEGI: ME UN BIWIYON ME SE HUN JIN KE BAREY ME ALLAH NE FARMAYA

“KOI JEE NAHIN JANTA KE IN JANNATIYON KE LIYE KYA KYA AANKHO KI RAHATEN CHHUPA RAKHI HUWI HAI”

JAB YEH USSE MULAKAT KAREGA TO US AAKHRI BIWI KE NOOR KE AITBAR SE 1 LAKH GUNA BADHI HUWI HOGI. KYUN KE US AURAT NE (Duniya Me) ROZAH BHI RAKHE THE, NAMAZE BHI PADHI THI, AUR IBADAT BHI KI THI,

YEH JANNAT ME DAKHIL HOGI TO JANNAT KI TAMAAM AURTON SE AFZAL HOGI, KYUN KE WOH HOOR TO MAHAZ PAIDA KI HUWI HOGI AUR
(Isne Duniya Me Ibadat Ki Huwi Hogi)

JAB YE (Duniyawi Biwi Jannat Me) JANNATI KE SAAMNE KHADI HOGI TO.... ... .


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 27

''TASHBIH KIS SE DUN TERE RUKHSAR-E-SAAF KO,

KHURSHID ZARD RANG QAMAR DAAG - DAAG HAI'' ✨

 ''JANNAT KI AURTON ME SE HAR AURAT KI PINDALI GORI RANGAT 70 POSHAKO KE PICHHE SE BHI DIKHAYI DEGI''

Mf.Hds. Tirmizi

 ''JANNAT KI AURAT KE RUKHSAR ME JANNATI KO APNI SHAKL NAZAR AAYEGI''

mf. Hds. MusnadeAhmed

 DUNIYA KI AURTEN JAB JANNAT ME DAKHIL HOGI TO UNKO DUNIYA ME NEK A'AMAAL KARNE KI WAJAH SE HOORON PAR FAZILAT ATAA FARMAYI JAYEGI.

(Darajah Me Bhi Aur Husn Me Bhi)

DUNIYAWI AURTEN HOOR-E-EIN SE 70-HAZAR GUNA AFZAL HOGI.

 ALLAH KA DOST (jannati) EK BULAND TAKHT PAR JALWA AFROZ HOGA, US TAKHT KI BULANDI 500 SAAL KE SAFAR KE BARABAR HOGI, YEH TAKHT YA'AQUT AHMAR KA HOGA.   US KE ZAMURRAD AKHZAR KE 2 PAR HONGE AUR TAKHT PAR 70 BICHHONE HONGE, UN SAB KA DHANCHA NOOR KA HOGA AUR ZAAHIR KA HISSAH BARIK RESHAM KA HOGA AUR ASTAR MOTE RESHAM KA HOGA.

IS TAKHT PAR EK HUJLAH E UROOSI HOGA JO LU'A-LU'A MOTI SE BANA HOGA IS PAR NOOR KE 70 PARDE HONGE.

 JANNATI HAZRAT AUR UNKI BIWIYAN SAAYO ME HUJLAH  UROOSI ME TEK LAGAYE HUWE BAITHE HONGE.

(Hujlah .. Doli ya palki ko kehte he, Uroosi .. Yani shadi ke waqt dulha aur dulhan ki jis tarah izzat aur ehtiram se doli me bithaya jata he is tarah.. Aur yeh jannati doli jannat ki shan ke mutabiq jesi hogi...

Shabe zufaf ke liye jo Qamarah taiyar kiya jata he use hujlae uroosi kehte he)

 YEH JANNATI APNI BIWI SE BAGALGIR HOGA KE ...
NA BIWI US SE SAIR HO RAHI HOGI AUR NA MARD US SE SAIR HO RAHA HOGA...

YE BAGALGIRI KA ARSA 40 SAAL TAK HOTA HOGA.

ACHANAK YEH APNA SAR UTHAYEGA AUR DEKHEGA KE......


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 26

 JANNAT ME MARDON/AURTON KA HUSNO JAMAAL✨

JANNAT ME REHNE WALE (Mard Wa Aurat, Hoor Wa Gilmaan Ke) HUSNO JAMAAL ME IS TARAH SE IZAFAH HOTA RAHEGA, JIS TARAH SE UNKA DUNIYA ME (Akhri Umar Me) BAD-SURTI AUR BUDHAPE ME IZAFAH HOTA REHTA HAI.

JANNAT KA BAAZAAR✨

JANNAT ME EK BAAZAAR HOGA, JANNATI HAR JUMA’A KO USME AAYA KAREGA,

SHUMAAL SE EK KHUSBOO CHALEGI, JO UNKE CHEHRON AUR LIBAAS PAR PADEGI, AUR YEH HUSN WA JAMAAL ME BADH JAYENGE,

FIR YEH APNE GHAR WALON KE PAAS LOUTENGE, JAB KE YEH HUSNO JAMAAL ME KHOOB TARAQQI KIYE HUWE HONGE,

UNKO UNKI BIWIYAN KAHEGI:
AAP TO HUM SE JUDA HONE KE BA'AD HUSNO JAMAAL ME BAHOT BADH GAYE HAI ..!!

TO YEH MARD KAHENGE:
AAP BHI TO KHUDA KI KASAM HUSNO JAMAAL ME BADH CHUKI HAI ...!!!

JANNAT KE BAAZAAR ME HUSNO JAMAAL ME MAN-PASAND, HASEENO JAMEEL SURATEN [Chehre] BHI HOGI,

JIS SURAT KO WOH PASAND KAREGA USME TABDIL HO SAKEGA.

PEHLA GIROH JO JANNAT ME DAAKHIL HOGA UNKI SURTEN 14vi RAAT KE CHAAND KI TARAH HOGI.

AUR UNKE BAAD WALON KI SURATON KI CHAMAK DAMAK ASMAN ME TEZ ROSHAN SITARON KI TARAH HOGI,

JANNATI JANNAT ME IS HAALAT ME JAYENGE KE NA TO UNKE JISMO PAR BAAL HONGE NA DAADHI HOGI.

AANKHO ME SURMA LAGAYE HONGE, 30 YA 33 SAAL KI UMAR ME HONGE.

JANNATIYON KE LIYE HAMENSHA REHNE KE BAAGH HAI, UNKE NICHE NAHREN BEHTI HOGI,

UNKO WAHAAN SONE KE KANGAN PEHNAYE JAYENGE, AUR SABZ RANG KE KAPDE BAARIK AUR MOTE RESHAM KE PEHNENGE.

WAHAAN TAKIYE LAGAYE BAITHE HONGE ....!!!!

KYAA HI ACHCHA SILAA HAI ..…!!!!!

AUR JANNAT KYAA HI ACHCHHI JAGAH HAI ....…!!!!!!


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 25

A’ARAAF KYA HAI❔

AS_HAABUL A’ARAAF KAUN HAI❔


ALLAH TA'ALA FARMATE HAI:

“PAS IN MUNAFIQO AUR MUSALMANO KE DARMIYAN EK DIWAAR QAEEM KAR DI JAYEGI, USKA EK DARAWAZAH BHI HOGA,
JISKE ANDER KI TARAF RAHMAT (Jannat) HOGI AUR
BAHAR KI TARAF AZAAB (Dozakh) HOGA’’


IN DONO FARIQ YA'ANE AHLE JANNAT AUR AHLE DOZAKH KE DARMIYAN AAD YA'ANE DIWAAR HOGI AUR US DIWAAR KA YA USKE BAALAAI HISSE KA NAAM A’ARAAF HAI.


AUR IS PAR SE JANNATI AUR DOZAKHI SAB NAZAR AAYENGE.


JISKI NEKIYAN US KE GUNAHON SE ZIYADAH HO GAYI WOH JANNAT ME,

AUR JISKE GUNAAH USKI NEKIYON SE ZIYADAH HO GAYE WO DOZAKH ME,

AUR JIS SHAKHS KI NEKIYAN AUR BURAAIYAN BARABAR BARABAR HO GAYI YEHI LOG ASHABUL A’ARAAF HAI.


YEH ABHI JANNAT ME DAKHIL NAHIN HUWE HONGE,
BALKE ISKI KHWAHISH ME HONGE,

A’ARAAF KE UPAR BAHOT SE AADMI HONGE, WOH LOG AHLE JANNAT AUR AHLE JANNAT ME SE HAR EK KO ALAWA JANNAT AUR DOZAKH KE ANDER HONE KI ALAAMAT KE UNKE KAYAFA SE BHI PEHCHANENGE.


KAYAFA YEH HOGA KE AHLE JANNAT KE CHEHRON PAR NOORANIYAT AUR AHLE DOZAKH KE CHEHRON PAR ZULMAT AUR KADURAT HOGI.


AUR A’ARAAF WALE JANNAT WALON KO PUKAR KAR KAHENGE:
''ASSALAMU ALAYKUM''


ABHI YEH A’ARAAF ME DAKHIL HUWE HONGE AUR USKE UMMIDWAR HONGE KE ALLAH UNHE JANNAT ME DAKHIL FARMAYE,

CHUNANCHE HADISO ME AAYA HAI KE UNKI UMMID PURI KAR DI JAYEGI.

AUR JAB A’ARAAF WALON KI NIGAHEN DOZAKH WALO KI TARAF JA PADEGI US WAQT HOUL KHA KAR KAHENGE:

AY HAMARE RAB..!
IN ZAALIM LOGO KE SAATH HAMEN AZAAB ME SHAMIL NA KIJIYE.


JANNAT ME SE JITNA HISSAH ALLAH TA'ALA CHAHENGE KHALI RAHEGA


FIR ALLAH TA'ALA USKE LIYE EK MAKHLUQ PAIDA KARENGE JIS SE CHAHENGE, AUR
UNKO JANNAT KE FAARIG HISSAH ME BASAA DENGE.

Muslim Kitabul Jannat


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 24

BAGAIR HISAAB KE JANNAT ME JAANE WALON KI PURI TA'DAD ALLAH HI KO MA'ALUM HAI

HZ. ABDURRAHMAN BIN ABU BAKR SIDDIK RD. SE RIVAYAT HAI KE:
RASULULLAH ﷺ NE IRSHAD FARMAYA:

MERE ALLAH AZZA WA JALLA NE MERI UMMAT ME SE 70-HAZAAR AISE ATAA FARMAYE HAI JO JANNAT ME BAGAIR HISAB KE DAKHIL HONGE.

HZ. UMAR RD. NE ARZ KIYA..
YA RASULALLAH ﷺ AAP NE ALLAH TA'ALA SE IS SE ZAEED KA MUTALBAH NAHIN KIYA..?

AAP ﷺ NE IRSHAD FARMAYA: MEINE ZAEED KA MUTALEBA KIYA THA, TO ALLAH TA'ALA NE MUJHE 70-HAZAR KE SATH 70-HAZAR ATAA FARMAYE.

HZ. UMAR RD. NE ARZ KIYA KE :
AAP NE ALLAH TALALA SE IS SE BHI ZAEED KA MUTALBA NAHI FARMAYA..??

TO AAP ﷺ  NE IRSHAD FARMAYA:
MUJHE ITNAAA ... .. . ATAA FARMAYA HAI

FIR AAP ﷺ NE APNE DONO BAAZU FAILA DIYE,

FIR FARMAYA:
YE ALLAH TA'ALA KI TARAF SE HOGA.

(hashsham kehte hai) HUM NAHIN JAANTE KE IS KI TA'DAD KITNI HOGI.

majmauzzawaeed

YEH HAZRAAT HISAB SHURU HONE SE PEHLE JANNAT ME JAYENGE.

AGAR 70 HAZAR KE SATH 70 HAZAR HO TO 4,90,00,00,000 (4 arab 90 crore) HOTE HAI, AUR WOH BHI ISSE ZAEED KITNI TA'ADAD HOGI HUM NAHIN JAANTE.

HUZUR ﷺ NE FARMAYA:
MERI UMMAT ME SE 70-HAZAR BAGAIR HISAB KE JANNAT ME DAKHIL HONGE.

HZ. ABU BAKR RA. NE ARZ KIYA:
YA RASULALLAH, ﷺ HAMARE (itminan aur khush khabri ke liye) AUR IZAFA FARMAYE.

TO AAP ﷺ NE FARMAYA:
AUR ITNA MAZEED.

TO HZ. UMAR RA. NE ARZ KIYA:
AY...ABU BAKR..! AGAR ALLAH TA'ALA NE CHAAHA TO HUZUR ﷺ KI UMMAT KO EK HI LAP ME JANNAT ME DAKHIL KAR DENGE.

(to huzur ﷺ ne farmaya:) UMAR NE SACH KAHA.

majmauzzawaeed 409/10
(bahawala buzzar)

Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 23

JANNAT KE 100 DARAJAAT HAI, UNME SE HAR DARAJAH KA DARMIAYNI FAASILAH AASMAN WA ZAMIN KE FAASILAH KE BARAABAR HAI,

UN ME SE PEHLE DARAJAH KE GHAR, QAMARE(rooms), USKE DARAWAZE, PALANG AUR UNKE TAALE(lock's)  (sab) CHAANDI KE HONGE.

AUR DUSRE DARAJAH KE GHAR, QAMARE, USKE DARAWAZE, USKE PALANG AUR USKE TAALE (Lock's) SONE (GOLD) KE HONGE,

AUR TEESRE DARAJAH KE GHAR, USKE QAMARE USKE DARAWAZE, USKE PALANG AUR USKE TAALE YA'AQUT, LU'ALU'A AUR ZABARJARD KE HONGE.

AUR BAAQI 97 DARAJAH KIS CHIZ SE BANEY HAI SIWAAY ALLAH TA'ALA KE KOI NAHIN JAANTA.

Al Budurussafira

JANNAT KE 100 DARAJAAT HAI,

AGAR TAMAAM JAHAAN ME SE KISI EK ME WOH JAMAA HO JAAYE, TAB BHI WOH DARAJAH USSE WASI'A RAHE.

Musnad-e-Ahmed

JANNAT BA-AITBAR-E-ZAAT KE EK JANNAT HAI, MAGAR BA-AITBAR-E-SHIFAT KE USKE KAEE NAAM HAI. MAQSUD INME ZAATE WAHID HOTI HAI (magar haan, uske darazaat bahot hai)

JANNAT,
DARUSSALAAM,
DARUL KHULD,
DARUL MAQAAMAH,
JANNATUL MA'AVA,
JANNATUL ADN,
DARUL HAYVAN,
FIRDAUS,
JANNATUN NAEEM,
ALMAQAAMUL AMEEN,
MAQ'ADE SIDQ,
TUBAA.

(YEH SAB TAFSIL KAMEE-BESHI KE SAATH HAADIYUL ARWAH SAFA 131 SE 138 SE MAKHUZ HAI)

(Wallahu Aa'lam)

Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 22

JANNATUL FIRDAUS

JANNAT KE 100 DARAJAAT HAI, HAR 2 DARAJAH KE DARMIYAN AASAMAAN WA ZAMIN KE FASILAH JITNA FASILAH HAI,

AUR FIRDAUS IN SE A'ALAA DARAJAH KI HAI,

IS SE UPAR ARSH HAI, ISI SE JANNAT KI CHARON NEHREN FUTEGI,

PAS TUM ALLAH TA'ALA SE SAWAL KARO TO USSE FIRDAUS MAANGA KARO.

-Musnade Ahmed

TUM ALLAH TA'ALA SE FIRDAUS MAANGA KARO KYUN KE YEH JANNAT KA UMDA HISSAH HAI.

(us firdaus ke) REHNE WALE JANNATI ARSH KI CHARCHARAAHAT (ki aawaze) SUNENGE.

-Tabrani

ALLAH TA'ALA NE JANNATUL FIRDAUS KA MAIDAN APNE DASTE MUBARAK SE BANAYA,

FIR US PAR KHAALIS SONE KI INT AUR KHUB MAHAKNE WALI MUSHK KI INT SE USKI TA'AMIR KI,

USME UMDA AQSAM KE MEVO KE DARAKHT LAGAYE,

UMDA KHUSBOO PAIDA KI, USME NEHREN CHALAYI.

ALLAH TA'ALA JANNATUL FIRDAUS KI TARAF HAR RAAT SEHRI KE WAQT NAZAR KARTE HAI

AUR (us ko) HUKM DETE HAI KE APNE HUSN KE SAATH MAZEED HASEEN HO JAAYE.

-(mukhtasar...)
'wasful firdaus'

Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp

Jannat Part - 21

KAM-AMAL AULAAD AUR BIWI APNE ZIYADAH AMAL WALE WALID AUR SHOHAR KE DARAJAH ME JANNAT ME JAYENGE. 

HZ. IBNE ABBAS RD. NE HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM SE NAKL KIYA KE AAP NE FARMAYA:

''JAB AADMI JANNAT ME DAAKHIL HOGA TO APNE WALIDAIN AUR BIWI BACHCHO KE MUTA'ALLIK PUCHHEGA,
(ke wo kahaan hai ?)

TO USKO BATLAYA JAYEGA KE WOH
(nek amal karke)
AAP KE DARAJAH TAK YA AAP KE AMAL TAK NAHIN PAHONCHE,

TO WOH ARZ KAREGA KE... YA RAB, MEINE TO APNE LIYE AUR UNKE LIYE (sab ke liye) AMAL KIYA THA, TAAKE AAP APNE FAZL KE SAATH UNKO BHI MERE SAATH JANNAT ME JAGAH ATAA FARMAYENGE.

CHUNANCHE UN SAB HAZRAAT KO US JANNATI KE SAATH DARAJAAT ME PAHONCHA DIYA JAYEGA, 

FIR HZ. IBNE ABBAS RD. NE YEH AAYAT TILAWAT FARMAYI.

(tarjuma)

WOH LOG JO IMAAN LAYE AUR UNKI AULAD NE BHI IMAAN ME UNKA SAATH DIYA (to hum unki aulad ko bhi unke sath jannat me shamil kar denge)''
Tabrani

ISI TARAH KAM AMAL WALIDAIN BHI ZIYADAH AMAL WALE APNI AULAAD KE SAATH JANNAT KE DARAJAH ME HONGE.

Hadi al Arwah

AULAAD APNE WALIDAIN ME SE APNE  BEHTAR KE PAAS HONGE, AGAR BAAP, MAA SE BEHTAR THA TO WOH BAAP KE SAATH HONGE AUR AGAR MAA, BAAP SE BEHTAR THI TO WOH MAA KE SAATH HONGE

Mahfume Hadis Abu Naeem

ALLAH TA’ALA MO’AMIN KI AULAD KO MO’AMIN KE DARAJAH ME USKE SAATH MILA DENGE AGAR CHE WOH (nek) AMAL ME US KE KAM (darajah ho taake unke qareeb karne) SE USKI AANKHE THANDI HO .

Mahfume Hadis Hakim

Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp