Khaas khaas mauqon par kahe jaane waale Masnoon Kalimaat

  • Oonchi jagah par chadte huwe padhein:
Arabic: اَللهُ أَكْبَرْ

Allaahu Akbar

Tarjama: Allah sab se bada hai.

(Bukhari: 2993)
  • Neeche utarte huwe padhein:
Arabic: سُبْحَانَ اللهِ

Subhaan Allaah

Tarjama: Allah ki Zaat Paak hai.

(Bukhari: 2993)

  • Chheenk Aane Par Kahein:
Arabic: اَلْحَمْدُ لِلَّهِ

Alhamdulillaah

Tarjama: Tamaam Ta'areefein Allah ke liye hain.

(Bukhari: 6224)

  • Chheenkne waale ko yeh jawaab dein:

Arabic: يَرْحَمُكَ اللهُ

Yarhamukallaah

Tarjama: Allah Tum par Raham kare.

(Bukhari: 6224)

  • Kisi kaam ke karne ka iraada zaahir karein to kahein:

Arabic: اِنْ شآءَاَللهُ

In Shaa Allaah

Tarjama: Agar Allah ne Chaaha.

(Sura-e-Kahaf 18: 24)

  • Koi Cheez Achchhi Lage to Yeh Dua Padhein:

Arabic: مَاشَآءَاللهُ

Maashaa Allaah

Tarjama: Jo Allah Chaahe.

(Sura-e-Kahaf 18: 39)

  • Kisi baat par Ta'ajjub ho to yeh Dua padhein:

Arabic: َاَللهُ أَكْبَرْ، سُبْحَانَ اللهِ

Allaahu akbar, Subhanallaah

Tarjama: Allah sab se bada hai, Allah ki Zaat Paak hai.

(Bukhari: 6218)

  • Koi Takleef Pahonche Ya koi Cheez gum ho jaaye to kahein:

Arabic: إِنَّالِلَّهِ وَإِنَّآ إِلَيْهِ رَٰجِعُوْنَ

Innaa lillaahi wa innaa ilaihi raaji'oon

Tarjama: Beshak ham Allah hi ke liye hain aur ham ko usi ki taraf laut kar jaana hai.

(Sura-e-Baqarah 2: 156)

  • Jab Gussa Aaye to Padhein:

Arabic: أَعُوْذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ

A'oozubillaahi minashshaitaanir rajeem

Tarjama: Main shaitaan mardood se Allah ki panah chaahta hoon,

(Tirmizi: 3452)

Share on: