CARROM BOARD KHELNA

⭕AAJ KA SAWAL number 960 ⭕

Carrom bord khelna kaisa hai ?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Murshidi hazrat mufti ahmad khanpuri sahab damat barkatuhum fatmate hai :

Carrom bord khelne walon ka maqsad aksar khel tamasha aur time pass hee hota hai, aesee niyyat se khelna makrooh (tahreemee) hai.

is khel ko khelne wale aksar faraiz aur wajibaat ki adaygi me is me mashgoolee kee wajha se kotahi karte hai, balke chhodte hai, aesee surat me karahat -makrooh se badh kar haraam hone ka hukm lagega.

albatta agar koi shakhs har waqt dimaagee kaam me mashgul rehta hai to apne aap ko chust -fresh rakhne ke liye kuchh waqt ke liye aese khel is tarah khelta ho Ke us me mashgoolee ki wajha se faraiz, wajibat chhutte na ho ya Us me kotahi waqe'a na hoti ho aur khel me haar -jeet ki shart na lagai jaati ho to aese shakhs ke infaradi haalaat ko madde nazar rakhte huwe gunjaish nikal sakti Hai.

📘MAHMOODUL FATAWA GUJRATI 3/468 BAHAWALA

📗(KIFAYATUL MUFTI 9/199,200 SE MAKHOOZ)

📄FATAWA BINORIA ONLINE SERIAL NO. 10134

Upar ki sharait ke sath kabhi kabhi khel le to gunjaish ho sakti hai.

📕FATAWA QASMIYAH 24/363

و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA