JAIZ NA JAIZ KHIZAB-MEHNDI HAIR COLOUR

AAJ KA SAWAL NO.664

A.
Siyah mail Khizab (balon me light kali mehndi ya dark brown mehndi jo door se kali maloom ho lagane ka kiya hukm hai?
Aur dark kala khizab-mehndi lagana kesa hai?

B.
bilkul kala kizab- mehndi aurten shohar ko khush rakhne laga sakti hai ya nahi ?

AAJ KA JAWAB 

A.
aesa light kala khizab-mehndi lagana mardo aur aurton ko jaiz hai.basharte ke balon par pad-coating na chadhti ho jis se pani pahonch na sake colour aur die lagana jaiz nahi agarche us par halal likha gaya ho.

Aur bikul kala khizab-mehdi lagana mardon ko jaiz nahi aese mard jannat ki khushbu bhi nahi sung sakenge halan ke woh 500 saal ki dooree se mahsoos hogi.

📗darhi aur anbiyaa ki sunnaten safa 78
ba hawala ibne maja wa 📘imdadul fatawa 4/203

📕Ahsanul fatawa jild 7)

B.
han aurat bilkul kala khizab agar shohar khwahish kare to shohar khush rakhne ba taure zeenat lagane ki baaz ulamaa ne gunjaish dee hai. Ba sharte apne aap ko jawan zahir kar ke kisi ko dhoka dena ya paraye mard ko dikhana maqsood na ho.

📘aurat ke liye banau singar ke ahkam safa 48 ba hawala mirqat sharhe mishkat 8/304 )

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA