TIN PATTI & SHATRANJ KHELNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 958 ⭕

time pas karne ke liye Tin patti, Shatranj aur taash khelna kaisa hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Hazrat abu moosa ash'ari رضی اللہ تعالٰی عنہ se riwayat hai ke huzoor صل اللہ علیہ وسلم ne farmaya jis ne nardosheer (gotiwala khel) khela usne Allah aur us ke rasool صلی الله عليه وسلم ki naa-farmaani ki.
(ABU DAWOOD 2/319)

Ek aur hadees me hazrat sulaiman ibne bareedah naqal karte hai ke huzoor صل اللہ علیہ وسلم ne farmaya jis ne nardosheer (shatranj) se khela us ne goya apne hath khinzir ke gosht aur khoon se range.
(ABU DAWOOD 2/327)

Imam abu haneefah, imam malik, imam ahmad Rahmatullahi alayhim is par muttafiq hai ke taash aur shatranj ka bhi yahi hukm hai, nardosheer se khelna gunahe kabeerah me shumar kiya gaya hai, isee se taash, shatranj aur tin patti ka andazah laga lijiye, kyun ke Isme waqt zayea hota hai aur is se lahwo laib-khel tamashe ka mijaaz ban jaata hai aur dhire dhire juwe ki taraf badhta hai, isliye makruhe tahrimee aur Na-jaaiz hai, agar shart bhi lagaayi jaaye to juwa bhi hone ki wajah se haraam aur sakht gunaah hoga.

(video game khelne ki jo 10 kharabi sawal 943 me batai gayi us me se aksar Is me bhi pai jati hai)

AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL 8/408
naeemiyah naya nuskha 7/332
purana nuskha

KITABUL FATAWA 6/157, 158 BA HAWALA DURRE MUKHTAR 9/566

و اللہ اعلم
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA