WAQIF KI SHART

⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 959 ⭕

*A.*
Waqif (waqaf karne wale) ne ek jagah ko shadi ke hall ke liye waqaf kiya hai, aur dusri jagah ko madrasa ke liye.
shadi ke hall ki jagah chhoti padti hai aur madrasa ki jagah badi hai, to shadi ke hall madrasa ki jagah me nuntaqil -transfar kar de aur madrasa ko shadi ke hall me chalaye to aesa karna jaiz hai ya nahi ?

*B.*
masjid ka chanda madrasa me aur madrasa ka masjid me istiamal kar sakte hai?;

AAJ KA JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

*A.*
Waqif ne jis jagah ko jis maqsad ke liye waqaf kiya ho usi maqsad me us ka istiamal zarooree hai, lihaza madrasa ki jagah shadi ka hall banana saheeh nahi, agarche jagah chhoti padti ho.

*B.*
isee tarah Masjid ka chanda madrasa me aur madrasa ka chanda masjid me istiamal karna bhi jaiz nahi.

FATAWA QASMIYAH 17/336
BAHAWALA SHAMI 6/365 SE MAKHOOZ

و اللہ اعلم

Mufti Imran Ismail Memon.

Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india