July - 31

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Zarr Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab tum mein se kisi ko ghussa aaye aur wo khada ho to usko chahiye ke baith jaye agar baithne se ghussa chala jaye (to theek hai) warna usko chahiye ke lait jaye. (Abu Dawud: 4782)
 
Faida: Hadees shareef ka matlab ye hai ke jis haalat ki tabdeeli se zehan ko sukoon mile us haalat ko ikhtiyaar karna chahiye taake ghussa ka nuqsaan kum se kum ho. baithne ki haalat mein khade hone se kam aur laitne mein baithne se kam nuqsaan ka imkaan hai. (Mazahir-e-Haq)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp