Chaand Girahn Me Aurat Ka Qainchi, Chhuri Aur Chaaqoo Wagairah Ka Istemaal



*چاند گرہن میں حاملہ عورت کا قینچی ، چھری اور چاقو کا استعمال*

*بعض مردوعورت چاند گرہن میں حاملہ عورت کو قینچی ، چھری اور چاقو وغیرہ کے استعمال سے منع کرتے ہیں، اور یہ عقیدہ رکھتے ہیں کہ ان چیزوں کے استعمال سے پیٹ میں موجود حمل میں کوئی نقص پیدا ہو جاتا ہے، یہ محض وہم پرستی ہے ، شریعت سے اس کا کوئی تعلق نہیں ہے، لہٰذا چاند گرہن کے دوران عورت بھی قینچی ، چھری اور چاقو وغیرہ کا استعمال کرسکتی ہے، اس سے حمل پر کوئی اثر نہیں پڑتا، کیوں کہ اثر دینے والی ذات صرف اللہ تعالیٰ کی ہے، اس لیے اس طرح کے باطل عقائد اور وہموں سے بچنا چاہیے۔*(مستفاد:المسائل المہمۃ:ج۵۔ص۴۸)

*Chaand Girahn Me Aurat Ka Qainchi, Chhuri Aur Chaaqoo Wagairah Ka Istemaal*

*Ba’az Mard-o-Aurat Chaand Girahn Me Haamilah Aurat Ko Qainchi, Chhuri Aur Chaaqoo Wagairah Ke Istemaal Se Mana Karte Hain, Aur Yeh Aqeedah Rakhte Hain Ke In Cheezon Ke Istemaal Se Pait Me Mawjood Hamal Me Koi Nuqs Paida Ho Jaata Hai, Yeh Mehez Waham Parasti Hai, Sharee’at Se Is Ka Koi Ta’alluq Nahin Hai, Lehaaza Chaand Girahn Ke Dawraan Aurat Bhi Qainchi, Chhuri Aur Chaaqoo Wagairah Ka Istemaal Kar Sakti Hai, Is Se Hamal Par Koi Asar Nahin Padta, Kyun Ke Asar Dene Waali Zaat Sirf Allah Ta’ala Ki Hai, Is Liye Is Tarah Ke Baatil Aqaayid Aur Wahmon Se Bachna Chaahiye.*[Mustfaad:Al-Masaail-ul-Muhimmah:J.5-S.84]