Faida: Do thandi Namazon se muraad fajr aur asar ki Namaz hai. Fajr thande waqt ke ikhtetaam per aur asar thandak ki ibteda per ada ki jaati hai. In dono Namazon ka khaas taur par isliye zikr farmaaya ke fajr ki Namaz neend ke ghalba ki wajah se aur asar ki Namaz karobaar ki mashghuliyat ki wajah se padhna mushkil hota hai lehaza in do Namazon ka ehtemaam karne waala yaqeenan baaqi teen Namazon ka bhi ehtemaam karega. (Mirqat) |
September - 04
September 03, 2017
Daily Islamic Message (DISM)
