Tohfa-e-Nikaah Part - 10

Aulaad Ke Huqooq

Maa bap ki yeh zimmedaari hai ke woh bachchon ko deeni taaleem dein, un ki behtareen tarbiyat karein aur un ke andar aakhirat ki fikr paida karein,

Qur'aan-e-Kareem mein Allah Ta'ala farmaate hain: Tum apne aap ko aur apne ghar waalon ko (jahannam ki) aag se bachaao, jis ka eindhan insaan aur patthar honge. (Sura-e-Tahreem: 6)

Aulad ke haq mein Allah se duaaein maangte rahiye, maa apne bachche ko doodh pilaaye, maa ke doodh mein bachche ke liye na sirf bharpoor vitamins hain balke us ki har har boond mein bemisaal taaqat aur bachche mein paida hone waali bimaariyon se ladne ki bharpoor quwwat hoti hai, bachche ko doodh pilaane se maa zehani bimaariyon aur cancer jaise khatarnaak amraaz se bach jaati hai, Qur'an mein bachchon ko doodh pilaane ki targeeb di gayi hai,

Allah Ta'ala farmaate hain: Aur maayein apne bachchon ko poore 2 saal tak doodh pilaayein. (Sura-e-Baqara: 233) 

Aaj kal dekha gaya hai ke maayein bachchon ka doodh bahot jaldi band kar deti hain, is ki wajah se woh apne bachche par zulm karti hain, powder waale aur jaanwar ke doodh se maa ka doodh kayi darja behtar hai jo qudrati hai aur khaas insaanon ke liye banaaya gaya hai, jis se bachcha poori zindagi tandurust rehta hai aur us ka dimaag bhi behtareen banta hai.

Share on: Telegram | WhatsApp