Tohfa-e-Nikaah Part - 14

Nikaah Mein Sab Se Badtareen Rasm Jahez Ka Lein Dein Hai

Nikaah mein sab se badtareen rasm jahez ka len den hai, ulama ne likha hai ke nikaah ke mauqa par ladke ya ladki waale ki taraf se maher ke alaawa kisi aur cheez ka mutaalba karna aur us ka lena dena rishwat hai aur rishwat shareeat mein haraam hai. (Shaami: 2/503, Baabul maher)

Jahez hi woh laanat hai jis ki wajah se aaj hamaare mu'aashre mein ladkiyon ko ek bojh samjha jaane laga hai, jahez ka saamaan na hone ki bina par gareeb bachchiyon ki shaadi nahein ho pa rahi hai aur woh sisak kar zindagi guzaar rahi hain, ladke waale sirf ummeed hi nahein rakhte balke poochte bhi hai ke jahez kitna milega? Warna ham rishta nahein kareinge aur jahez mein gaadi, palang, fridge aur furniture wagaira ka mutaalba karte hain. Isi mu'aasharati bigaad ka nateeja hai ke gareeb waalidain ke liye bachchiyon ka nikaah karna wabaale jaan ban gaya hai, phir us ki wajah se mu'aashre mein jo bigaad paida huwa hai aur ho raha hai, un se ham sab waaqif hain. Baharhaal aaj zaroorat hai ke jahez ke is riwaaj ko balke shaadi ke tamaam rasm wa riwaaj ko khatm karne ke liye ham sabhi Log aage aayein aur poori quwwat se unhein khatm karein aur shaadi ke islaami tareeqe ko riwaaj dein, jis mein har shakhs ke liye aasaani hi aasaani hai.

Share on: Telegram | WhatsApp