Tohfa-e-Nikaah Part - 50

Kuch Khaana Aur Kuch Phenk Dena Bhi Fuzool Kharchi Hai

Khaana Allah ki taraf se ek qeemti ne'mat hai aur is qeemti ne'mat ki qadar karna bahot zaroori hai, beshumaar mauqo par fuzool kharchi hoti hai aur un mein sab se ziyaada afsoosnaak fuzool kharchi khaane ke silsile mein hoti hai, ham shaadi biyaah, kisi party ya deegar mauqo par khaana khaane jaate hain, to kuch khaate hain aur kuch yun hi zaaye kar dete hain aur us ko ham naye daur ka fashion samajhte hain, jab ke dunya mein laakhon log do niwaalon ke liye bhi taraste hain, is se bachne ki sakht zaroorat hai.

Allah Ta'ala farmaate hain: Khaao aur piyo, aur fuzool kharchi mat karo, yaad rakho ke Allah fuzool kharch logon ko pasand nahein karta. (Sura-e-Aaraaf: 31)

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jab tum mein se kisi ka luqma gir jaaye, to use saaf karke kha le aur us ko shaitaan ke liye na chhode. (Muslim: 5303)

Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu kehte hain ke khoob pet bhar kar khaane peene se bacho, kyun ke is se sihat barbaad hoti hai, bimaari paida hoti hai aur namaaz mein susti paida hoti hai. Thoda kam khaao piyo, is se sihat bahot achchhi rehti hai aur israaf aur fuzool kharchi se bhi koson door raho. (Al darul Mansoor: 3/445)

Share on: Telegram | WhatsApp