Tohfa-e-Nikaah Part - 57

Biwi Ko Narmi Se Samjhaao

Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Aurat ko pasli se paida kiya gaya hai, aur woh tujh se kabhi seedhi nahi chal sakti; lihaaza agar tu us ke andar tedhaapan hote huwe us se faaida uthaana chaahta hai to uthaale aur agar tune use seedha karne ki koshish ki, to tu use tod dega aur us ka todna talaaq hai. (Muslim: 3643)

Is Hadees se maaloom huwa ke biwiyon ke saath hamesha achchha sulook karna chaahiye, un ke saath narmi se pesh aana chaahiye aur unhein baraabar narmi wa khair khawahi ke saath naseehat karte rehna chaahiye, is ke baawajood agar un ki taraf se tedhaapan saamne aaye to us ko bardaasht karna chaahiye, kyun ke un ki paidaaish hi tedhi pasli se huwi hai, un ki fitrat mein hi kuch tedhaapan hai, yaani un ko bhalaayi ki naseehat karna bhi na chhode aur na hi baat baat par gussa karta rahe.

Share on: Telegram | WhatsApp