Jannat Part - 01

01

JANNAT
WATAN-E-ASLI

HZ. AADAM Alayhissalam SE LEKAR QAYAMAT TAK AANE WALE AAKHRI INSAN KA WATAN-E-ASLI JANNAT HAI,

JAHAAN SE WO AAYA HAI AUR  JAHAN USEY LAUT KE JANA HAI,

JIS TARAH DUNIYA ME HUM DEKHTE HAI KE LOG APNA GHAR CHHOD KAR BERUNI MULKO ME PAISA KAMANE JATE HAI, UNKA EK HI MAQSAD HOTA HAI KE ZIYADA SE ZIYADA PAISA KAMAYA JAYE AUR APNE WATAN-E-ASLI TAK PAHONCHAYA JAYE, TAA KE JAB WO APNE WATAN  WAPAS JAYE TO USKI BAQIYA ZINDAGI SHUKH AUR CHEN KE SATH, SUKOON SE RAAHATO ITAMINAN SE GUZAR SAKE,

IS LIYE WO APNI KAMAYI KO US JAGAH ISTE'AMAL NAHI KARTA. TAKALIF, DUKH MUSIBATEN BARDAST KAR KE ZIYADA SE ZIYADA KAMANE KI KOSHISH KARTA HAI,

ISI TARAH HAMARA BHI WATAN-E-ASLI JANNAT HAI, (Aur Ye Hamara Imaan Hai)

JAHAAN SE HUM DUNIYA ME ALLAH KE FARMANO KO PURA KARNE, NEKI KAMANE KE LIYE AAYE HAI, YAHAN SE HAMEN SHUKH, CHEN AUR RAHATO ITMINAN NAHI KAMANA HAI,

BALKE YAHAN SE ZIYADA SE ZIYADA NEKI KAMA KAR APNE WATAN-E-ASLI KI TARAF RAWANA KARNA HAI, TAAKE MARNE KE BAAD KI ZINDAGI JO LAA-MEHDUD HAI WO CHEN SUKOON KE SATH GUZRE.

Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp