Jannat Part - 21

KAM-AMAL AULAAD AUR BIWI APNE ZIYADAH AMAL WALE WALID AUR SHOHAR KE DARAJAH ME JANNAT ME JAYENGE. 

HZ. IBNE ABBAS RD. NE HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM SE NAKL KIYA KE AAP NE FARMAYA:

''JAB AADMI JANNAT ME DAAKHIL HOGA TO APNE WALIDAIN AUR BIWI BACHCHO KE MUTA'ALLIK PUCHHEGA,
(ke wo kahaan hai ?)

TO USKO BATLAYA JAYEGA KE WOH
(nek amal karke)
AAP KE DARAJAH TAK YA AAP KE AMAL TAK NAHIN PAHONCHE,

TO WOH ARZ KAREGA KE... YA RAB, MEINE TO APNE LIYE AUR UNKE LIYE (sab ke liye) AMAL KIYA THA, TAAKE AAP APNE FAZL KE SAATH UNKO BHI MERE SAATH JANNAT ME JAGAH ATAA FARMAYENGE.

CHUNANCHE UN SAB HAZRAAT KO US JANNATI KE SAATH DARAJAAT ME PAHONCHA DIYA JAYEGA, 

FIR HZ. IBNE ABBAS RD. NE YEH AAYAT TILAWAT FARMAYI.

(tarjuma)

WOH LOG JO IMAAN LAYE AUR UNKI AULAD NE BHI IMAAN ME UNKA SAATH DIYA (to hum unki aulad ko bhi unke sath jannat me shamil kar denge)''
Tabrani

ISI TARAH KAM AMAL WALIDAIN BHI ZIYADAH AMAL WALE APNI AULAAD KE SAATH JANNAT KE DARAJAH ME HONGE.

Hadi al Arwah

AULAAD APNE WALIDAIN ME SE APNE  BEHTAR KE PAAS HONGE, AGAR BAAP, MAA SE BEHTAR THA TO WOH BAAP KE SAATH HONGE AUR AGAR MAA, BAAP SE BEHTAR THI TO WOH MAA KE SAATH HONGE

Mahfume Hadis Abu Naeem

ALLAH TA’ALA MO’AMIN KI AULAD KO MO’AMIN KE DARAJAH ME USKE SAATH MILA DENGE AGAR CHE WOH (nek) AMAL ME US KE KAM (darajah ho taake unke qareeb karne) SE USKI AANKHE THANDI HO .

Mahfume Hadis Hakim

Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp