Tohfa-e-Nikaah Part - 06

Biwi Ke Huqooq

Biwiyon ke bahot se huqooq hain, jin mein sab se pehla haq maher hai, maher ada na karne par Hadees mein bahot sakht waeed aayi hai, chunaanche

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs kisi aurat se nikaah kare aur yeh niyyat rakhe ke us ke maher mein se use kuch nahein dega, to woh zaani ho kar marega. (Kanzul Ummaal: 44706)

Shohar ke liye dunya mein biwi se badhkar koi hamdard aur mohsin nahein hai, woh us ke ghar ka intizaam sambaalti hai, us ke bachchon ki achchhi aur behtareen parwarish karti hai, shohar ke maal ki hifaazat karti hai, shohar ko chaahiye ke biwi ke saath pyaar wa muhabbat waali zindagi guzaare, us ki jaaiz zarooriyaat ko poora karne ki koshish kare, agar biwi ki taraf se koi galti aur kotaahi ho jaaye, to laan taan aur maar peet ke bajaaye darguzar se kaam le, ek Hadees mein

Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Aurat pasli ki tarah hai, agar tum us ko seedha karoge, to tod doge, lihaaza (jaise tedhi pasliyaan kaam de rahi hain) un se un ke tedhepan ke saath faaida uthaate raho. (Bukhari: 5184)

Apne kaarobaar, office ya kisi bhi zaroorat se baahar jaana ho to waapas aane par sab se muskuraate huwe chehre ke saath milein. Aaj kal is masroofiyat waale daur mein aksar aisa hota hai ke aksar wa beshtar log din bhar ghar se baahar rehte hain aur der raat waapas aate hain aur so jaate hain, yeh tareeqa theek nahein hai, is se zindagi pheeki pad jaati hai.

Hadees mein hai ke Rasulullah ﷺ ka yeh ma'amool tha ke woh rozaana Asr ke baad apni har ek biwi ke ghar jaate aur un se mulaaqaat farmaate. (Bukhaari: 5268)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 05

Waleeme Mein Har Tarah ke Logon Ko Zaroor Shareek karein

Waleeme ke liye qarz Lena aur apni wus'at se ziyaada kharch karna mana hai, neez maaldaaron ko daawat dene ke saath nek logon, ulma, huffaaz, aur is ke alawaa miskeenon aur gareebon ko bhi zaroor daawat dein, kyun ke jis daawat mein sirf maaldaaron ko daawat di jaaye aur gareebon ko shareek na kiya jaaye, ise badtareen khaana qaraar diya gaya hai, chunaanche ek Hadees mein hai,

Badtareen khaana us waleeme ka khaana hai jis mein maaldaaron ko daawat di jaaye aur gareebon ko chhod diya jaaye, aur jis shakhs ne daawat-e-waleema qabool na ki, us ne Allah aur Uske Rasool ki naafarmaani ki. (Bukhari: 5177)

Sirf dikhlaawe aur fakhr ke taur par aur ek doosre se aage badhne ke liye waleema karna, us mein aisi aaraaish wa numaaish karna ke sunnat ka door door tak naam wa nishaan na ho, aise khaane se bhi door rehna chaahiye, ek Hadees mein hai ke Rasulullah ﷺ ne fakhr aur dikhlaawa karne waalon ka khaana khaane se mana farmaaya hai. (Abu Dawud: 3754)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tohfa-e-Nikaah Part - 04

Shaadi Mein Gair Sharai Cheezon Aur Fuzool Kharchi Se Bacho

Aaj kal shaadi biyaah ke mauqe par khaane ke liye (buffet System) ka riwaaj chal pada hai, jis mein log khade khade balke chalte huwe khaate peete rehte hain, haalaanke Hadees mein khade khade khaane peene se bahot sakhti ke saath roka gaya hai, Hazrat Anas Raziyallahu Anhu bayaan karte hain ke Rasulullah ﷺ ne khade ho kar paani peene se mana kiya hai. Is par Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ke shaagird Hazrat Qataada ne poochha ke khade ho kar khaana kaisa hai? Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ne jawaab diya ke khade ho kar khaana, khade ho kar peene ke muqaable mein aur bhi ziyaada bura aur ganda amal hai. (Muslim) Isi tarah log nikaah mein khushi zaahir karne ke liye naach gaana aur band baaja wagaira cheezon ka ehtimaam karte hain, yeh saari cheezein shari'at ke khilaaf aur haraam hain neez Allah aur us ke Rasool ko sakht naapasand hai, Rasulullah ﷺ ki be'sat ka ek maqsad gaane baaje ke aalaat ko mitaana bhi tha, chunaanche ek Hadees mein

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Allah ne mujhe saari makhlooqaat ke liye rahmat wa hidaayat ka sar chashma bana kar bheja hai aur mujhe hukm diya hai ke main har tarah ke baajon, dhoL taashon, naqqaaron aur saarangi ko mita doon. (Musnade Ahmed: 22218)

Share on: Telegram | WhatsApp

Roze Ki Haalat Me Qay (Vomit) Karna

 


Tohfa-e-Nikaah Part - 03

Nikaah Mein Kya Kya Cheezein Zaroori Hain

Nikaah sahi hone ke liye nikaah ki majlis mein do sharai gawaahon ki maujoodgi mein ladka aur ladki ki taraf se ijaab wa qabool hona zaroori hai warna nikaah nahein hoga, saal ke kisi bhi maheene mein shaadi karne mein koi harj nahein hai, awaam mein yeh baat mash'hoor ho gayi hai ke safar ke maheene mein nahoosat hai aur is maheene mein shaadi be barkati aur museebaton ka sabab hoti hai, haalaanke Islaam mein na koi maheena manhoos hai aur na hi kisi maheene mein shaadi karne se mana kiya gaya hai.

Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ki Rasulullah ﷺ ne farmaaya: bimaari khud ba khud ek doosre ko nahein lagti, bad shigooni ki koi haqeeqat nahein hai, aur na hi murdon par ullu bolte hain aur na hi safar ke maheene mein koi nahoosat hai. (Bukhari: 5707)

Share on: Telegram | WhatsApp

Roze Ki Haalat Me Thook Nigalna

 


Tohfa-e-Nikaah Part - 02

Nikaah Karne Ke Faaide Aur Na Karne Ke Nuqsaanaat

Nikah ki wajah se aadmi bahot se gunaahon se bach jaata hai aur pur sukoon zindagi naseeb hoti hai, chunaanche Qur'aan-e-Kareem mein Allah Ta'aa ne farmaaya:

Aur us ki ek nishaani yeh hai ke us ne tumhaare liye tum hi mein se biwiyaan paida kein, taake tum un ke paas ja kar sukoon haasil karo, aur tumhaare darmiyaan muhabbat aur rahmat ke jazbaat rakh diye. (Sura-e-Room: 21)

Allah Ta'aa nikaah ki barkat se nikaah karne waale ko maaldaar bana deta hai, Qur'aan mein Allah Ta'aa farmaate hain:

Tum mein se jin (mardon ya aurton) ka is waqt nikaah na ho, un ka bhi nikaah karaao aur tumhaare gulaamon aur baandiyon mein se Jo nikaah ke qaabil hoon un ka bhi, agar woh tangdast hon, to Allah apne fazl se unhein gani (maaldaar) kardega aur Allah bahot wus'at waala hai, sab kuch Jaanta hai. (Sura-e-Noor: 32)

Wus'at (Saari cheezein hone) ke baawajood nikaah na karne waale ko Allah ke Rasool ﷺ ne shaitaan ka bhai aur bure logon mein shumaar kiya hai, ek hadees mein hai ke Rasulullah ﷺ ke paas ek shakhs aaya, jise ikaaf kaha jaata tha, Rasulullah ﷺ ne us se poochha aye ikaaf! kya tumhaari biwi hai? unhon ne kaha nahein, Aap ne poochha: kya baandi hai? unhon ne kaha nahein, Aap ﷺ ne farmaaya: jab ke tum Allah ke fazal se maaldaar aur tandurust bhi ho, unhon ne kaha: ji haan! to Aapﷺ ne farmaaya: ki tab to tum shaitaan ke bhai ho, agar tum isaai hote, to un ke paadri hote aur agar tum ham mein se ho to jo ham karte hain waisa hi karo, kyun ke hamaara tareeqa nikaah karna hai, tum mein badtareen log woh hai, jo gair shaadi shuda hain aur tumhaare murdon mein badtareen murde woh hain, Jo bagair nikaah ke mar gaye. (Musnade Ahmed: 21450, Sho'bul Imaan: 5480)

Share on: Telegram | WhatsApp

Roze Ki Haalat Me Kaan Aur Naak Me Dawaa Dalna

 


Tohfa-e-Nikaah Part - 01

 Nikaah Ki Zaroorat Aur Kaise Karein

Mazhabe Islaam fitrat ke tamaam taqaazon ko sharai hudood mein reh kar poora karne ki taaleem deta hai aur us ka tareeqa aur saleeqa sikhaata hai. Nikaah bhi insaani fitrat ka ahem taqaaza hai, agar is rishta-e-nikaah ko sahi taur par qaaim kiya jaaye aur us ki zimmedaariyon ko sahi taur par ada kiya jaaye, to phir us mein mashgool hona nafl ibaddaton se bhi badh jaata hai.

Rasulullah ﷺ ka irshaad hai: jis bande ne nikaah kiya, us ne apna aadha deen poora kar liya, ab use chaahiye ke baqiya aadhe ke baare mein Allah Ta'ala se dare. (Sho'bul imaan: 5486)

Isi liye Qur'aan-e-Majeed ne bahot si jagah nikaah ki targeeb di hai, Allah Ta'ala ne is ko ambiya ki sunnat aur un ka tareeqa qaraar diya hai, chunaanche

Qur'aan mein hai: Haqeeqat yeh hai ke ham ne tum se pehle bhi bahot se Rasool bheje hain, aur unhein biwi bachhche bhi ata farmaaye hain. (Sura e Ra'ad: 38)

Nikaah ki bahot saari sunnatein hain, jin mein se chand yahaan zikr ki jaati hain:

1) Saadgi ke saath nikaah karein. (Musnade Ahmed: 54529)
2) Masjid mein nikaah karein. (Tirmizi: 1089)
(3) Juma ke din nikaah karein. (Albahrur raaiq:2/83, Kitabun Nikaah)
(4) Nikaah ke waqt Khutba-e-Nikaah padhein. (Tirmizi: 1105)
(5) Waleema karein. (Bukhaari: 2048)

Share on: Telegram | WhatsApp

Eid ke Din Ek Dusre ko Is Tarah Mubaarakbaadi De

Shaitaan ke asraat se Hifaazat aur bhi kai faaide


Aaseb aur saher wagaira se hifaazat ka nabawi nuskha


Beemaari (Nazare bad wagaira) se shifa ki dua


Roze Ki Haalat Me Injecction Lagwana

 


Roze Ki Haalat Me Aankhon Me Surman Lagaana

 


Roze Ki Haalat Me Sar Ya Badan Per Tel (Oil) Lagaana


 

Imaan par Saabit Qadmi ki Dua


Nuqsaan se bachne ki Dua


Ghar Mein Daakhil Hone Ki Dua

Community Progress

Share on: WhatsApp

Tamaam Zarooraton Ka Hal