Kin Aurton se nikah karna haraam hai ?

Kin Aurton se nikah karna haraam hai ?

1) Maan, naani, par naani, daadi, par daadi. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

2) Beti, poti, par poti, nawaasi, par nawaasi. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

3) Sagi bahen, sauteli bahen (maan ya baap shareek bahen, bhateeji, bhaanji. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

4) Khaala, phoopi. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

5) Bahu, Saas. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

6) Razaai Bahen (doodh shareek bahen ), Razaai Maan (Jis aurat ka doodh piya ho). (Shaami: 10/383, Baabur Rizaa)

Masla: Chacha zaad, khaala zaad, Phoopi zaad, aur Maamoon zaad behnon se nikah durust hai. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

Masla: 2 Behnon ko ek saath Nikah mein rakhna haraam hai, albatta agar biwi ki wafaat hogai ya use talaaq dedi ho aur iddat poori hochuki ho to ab saali se nikah durust hai. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

Masla: Agar kisi mard ne kisi aurat ko shehwat ke saath haath lagaaya ya zina kiya to us mard ke liye us aurat ki maan aur us ki betiyon se nikah karna haraam hogaya. (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

Masla: Haiz-o-Nifaas ki haalat mein hambistari karna haraam hai. Isi tarah aurat ki pichhli sharmgaah mein hambistari karna bhi haraam hai. (Shaami: 2/409, Baabul Haiz)

Share on: