Kin Mardo se Nikaah karna Haraam hai?

Kin Mardo se Nikaah karna Haraam hai ?

1) Baap, Dada, Par dada, Nana, Par nana.

✺ (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

2) Beta, Pota, Par pota, Nawaasa, Par nawaasa.

✺ (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

3) Saga Bhai, Sautela Bhai ( Maa ya baap shareek bhai), bhateeja , bhaanja.

✺ (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

4) Chacha, Maamoon.

✺ (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

5) Daamaad, Sasur.

✺ (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

6) Razaai Bhai (Doodh shareek bhai), Razaai Baap (Jis aurat ka doodh piya us ka shohar)

✺ (Shaami: 10/383, Baabur Rizza)

» Masla: Chacha zaad, khaala zaad, phoophi zaad aur Maamoon zaad bhaiyon se Nikaah durust hai.

✺ (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

» Masla: Do (2) behnon ko ek saath Nikaah mein rakhna Haraam hai, albatta agar bahen ki wafaat hogai ya use shohar ne talaaq dedi ho aur iddat poori hochuki ho to ab behnoi se Nikaah durust hai.

✺ (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

» Masla: Agar kisi mard ne kisi aurat ko shehwat ke saath haath lagaaya ya zina kiya to in dono mard aur aurat par ek doosre ke usool-o-farog (Maa Baap aur aulaad) se Nikaah Haraam hojayega.

✺ (Shaami: 9/256, Faslun Fil Muharramaat)

» Masla: Haiz-o-Nifaas ki haalat mein hambistari karna Haraam hai. Isi tarah aurat ki pichhli sharmgaah mein hambistari karna bhi Haraam hai.

✺ (Shaami: 9/256, Baabul Haiz)

Share on: