Tohfa-e-Nikaah Part - 12

Rishta Tey Karne Mein Deendaari Ka Khayaal Rakhein

Aaj log jab rishte ka intikhaab karte hain, to bahot saari cheezon ko dekhte hain, ilm wa fazal, maal wa daulat, mu'aashre mein maqaam wa martaba, ek doosre ka husn wa Jamaal aur na jaane kin kin cheezon par nazar daalte hain, magar Rasulullah ﷺ ne rishte ke intikhaab ke silsile mein asal me'yaar deendaari ko bataaya hai.

Hadees mein Aap ﷺne naseehat karte huwe farmaaya: Aurton se 4 wujoohaat ki bina par shaadi ki jaati hai, ek us ki daulat ko dekh kar, doosra us ke khaandaan ko dekh kar, teesra us ke husn wa jamaal ko dekh kar aur chautha us ke deen ko dekh kar. Pas tum deendaar aurat ke saath shaadi kar ke kaamyaab ho jaao. (Abu Daaood: 2047)

Lihaaza rishta karte waqt sab se pehle dekhna chaahiye ke jis se rishta kiya ja raha hai woh deendaar hai ke nahein, agar woh deendaar hai to us se nikaah kar Lena chaahiye.

Share on: Telegram | WhatsApp