Tohfa-e-Nikaah Part - 13

Nikaah Mein Fuzool Kharchi Se Bacho

Aaj har khushi ke mauqe par fuzool kharchi karne ka aam riwaaj ban chuka hai aur shaadi ke mauqe par to be tahaasha maal kharch karte hain, daawate waleema karna beshak masnoon hai, magar us mein fuzool kharchi karna bilkul galat hai, ham log apne gharon ki sajaawat mein itna maal zaaye kar dete hain ke jis ko agar achchhi jagah istemaal kiya jaaye, to deen ka bahot bada kaam ho sakta hai. magar log is ko nahein samajhte. Beja sajaawat mein maal sarf karna na sirf fuzool kharchi hai, balke Allah ke diye huwe maal wa daulat ki na qadri bhi hai, Allah Ta'ala ne Qur'an-e-Kareem mein 22 jaghon par mukhtalif andaaz mein fuzool kharchi se bachne ki hidaayat di hai.

Ek jagah irshaad hai: Apne maal ko behuda kaamon mein na udaao, yaqeen jaano ke jo log behuda kaamon mein maal udaate hain, woh shaitaan ke bhai hain aur shaitaan apne parwardigaar ka bada na shukra hai. (Sura-e-Isra: 26, 27)

Neez qayaamat ke din har shakhs ko hisaab dena padega ke Allah ne us ko jo daulat ata ki
thi, us ko kahaan sarf kiya?

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Qayaamat ke din insaan ke qadam apne rab ke saamne se us waqt tak nahein hat sakeinge, jab tak ke us se paanch sawaal na karliye jaayein. Us ki umar ke baare mein ke us ko kahaan khatm kiya, us ki jawaani ke baare mein ke us ko kahaan ganwaaya, maal kahaan se kamaaya aur kahaan kharch kiya aur apne ilm par kitna amal kiya? (Tirmizi: 2416)

Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya: Bila shuba sab se ba barkat nikaah woh hai jis mein kharch kam se kam ho. (Musnade Ahmed: 24529)

Lihaaza ham gaur karein ke jab Allah us din ham se hamaari daulat ke baare mein sawaal kareiga, to ham kya jawaab deinge!!!

Share on: Telegram | WhatsApp