Tohfa-e-Nikaah Part - 01

 Nikaah Ki Zaroorat Aur Kaise Karein

Mazhabe Islaam fitrat ke tamaam taqaazon ko sharai hudood mein reh kar poora karne ki taaleem deta hai aur us ka tareeqa aur saleeqa sikhaata hai. Nikaah bhi insaani fitrat ka ahem taqaaza hai, agar is rishta-e-nikaah ko sahi taur par qaaim kiya jaaye aur us ki zimmedaariyon ko sahi taur par ada kiya jaaye, to phir us mein mashgool hona nafl ibaddaton se bhi badh jaata hai.

Rasulullah ﷺ ka irshaad hai: jis bande ne nikaah kiya, us ne apna aadha deen poora kar liya, ab use chaahiye ke baqiya aadhe ke baare mein Allah Ta'ala se dare. (Sho'bul imaan: 5486)

Isi liye Qur'aan-e-Majeed ne bahot si jagah nikaah ki targeeb di hai, Allah Ta'ala ne is ko ambiya ki sunnat aur un ka tareeqa qaraar diya hai, chunaanche

Qur'aan mein hai: Haqeeqat yeh hai ke ham ne tum se pehle bhi bahot se Rasool bheje hain, aur unhein biwi bachhche bhi ata farmaaye hain. (Sura e Ra'ad: 38)

Nikaah ki bahot saari sunnatein hain, jin mein se chand yahaan zikr ki jaati hain:

1) Saadgi ke saath nikaah karein. (Musnade Ahmed: 54529)
2) Masjid mein nikaah karein. (Tirmizi: 1089)
(3) Juma ke din nikaah karein. (Albahrur raaiq:2/83, Kitabun Nikaah)
(4) Nikaah ke waqt Khutba-e-Nikaah padhein. (Tirmizi: 1105)
(5) Waleema karein. (Bukhaari: 2048)

Share on: Telegram | WhatsApp