Tohfa-e-Nikaah Part - 02

Nikaah Karne Ke Faaide Aur Na Karne Ke Nuqsaanaat

Nikah ki wajah se aadmi bahot se gunaahon se bach jaata hai aur pur sukoon zindagi naseeb hoti hai, chunaanche Qur'aan-e-Kareem mein Allah Ta'aa ne farmaaya:

Aur us ki ek nishaani yeh hai ke us ne tumhaare liye tum hi mein se biwiyaan paida kein, taake tum un ke paas ja kar sukoon haasil karo, aur tumhaare darmiyaan muhabbat aur rahmat ke jazbaat rakh diye. (Sura-e-Room: 21)

Allah Ta'aa nikaah ki barkat se nikaah karne waale ko maaldaar bana deta hai, Qur'aan mein Allah Ta'aa farmaate hain:

Tum mein se jin (mardon ya aurton) ka is waqt nikaah na ho, un ka bhi nikaah karaao aur tumhaare gulaamon aur baandiyon mein se Jo nikaah ke qaabil hoon un ka bhi, agar woh tangdast hon, to Allah apne fazl se unhein gani (maaldaar) kardega aur Allah bahot wus'at waala hai, sab kuch Jaanta hai. (Sura-e-Noor: 32)

Wus'at (Saari cheezein hone) ke baawajood nikaah na karne waale ko Allah ke Rasool ﷺ ne shaitaan ka bhai aur bure logon mein shumaar kiya hai, ek hadees mein hai ke Rasulullah ﷺ ke paas ek shakhs aaya, jise ikaaf kaha jaata tha, Rasulullah ﷺ ne us se poochha aye ikaaf! kya tumhaari biwi hai? unhon ne kaha nahein, Aap ne poochha: kya baandi hai? unhon ne kaha nahein, Aap ﷺ ne farmaaya: jab ke tum Allah ke fazal se maaldaar aur tandurust bhi ho, unhon ne kaha: ji haan! to Aapﷺ ne farmaaya: ki tab to tum shaitaan ke bhai ho, agar tum isaai hote, to un ke paadri hote aur agar tum ham mein se ho to jo ham karte hain waisa hi karo, kyun ke hamaara tareeqa nikaah karna hai, tum mein badtareen log woh hai, jo gair shaadi shuda hain aur tumhaare murdon mein badtareen murde woh hain, Jo bagair nikaah ke mar gaye. (Musnade Ahmed: 21450, Sho'bul Imaan: 5480)

Share on: Telegram | WhatsApp