Tohfa-e-Nikaah Part - 04

Shaadi Mein Gair Sharai Cheezon Aur Fuzool Kharchi Se Bacho

Aaj kal shaadi biyaah ke mauqe par khaane ke liye (buffet System) ka riwaaj chal pada hai, jis mein log khade khade balke chalte huwe khaate peete rehte hain, haalaanke Hadees mein khade khade khaane peene se bahot sakhti ke saath roka gaya hai, Hazrat Anas Raziyallahu Anhu bayaan karte hain ke Rasulullah ﷺ ne khade ho kar paani peene se mana kiya hai. Is par Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ke shaagird Hazrat Qataada ne poochha ke khade ho kar khaana kaisa hai? Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ne jawaab diya ke khade ho kar khaana, khade ho kar peene ke muqaable mein aur bhi ziyaada bura aur ganda amal hai. (Muslim) Isi tarah log nikaah mein khushi zaahir karne ke liye naach gaana aur band baaja wagaira cheezon ka ehtimaam karte hain, yeh saari cheezein shari'at ke khilaaf aur haraam hain neez Allah aur us ke Rasool ko sakht naapasand hai, Rasulullah ﷺ ki be'sat ka ek maqsad gaane baaje ke aalaat ko mitaana bhi tha, chunaanche ek Hadees mein

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Allah ne mujhe saari makhlooqaat ke liye rahmat wa hidaayat ka sar chashma bana kar bheja hai aur mujhe hukm diya hai ke main har tarah ke baajon, dhoL taashon, naqqaaron aur saarangi ko mita doon. (Musnade Ahmed: 22218)

Share on: Telegram | WhatsApp