Tohfa-e-Nikaah Part - 05

Waleeme Mein Har Tarah ke Logon Ko Zaroor Shareek karein

Waleeme ke liye qarz Lena aur apni wus'at se ziyaada kharch karna mana hai, neez maaldaaron ko daawat dene ke saath nek logon, ulma, huffaaz, aur is ke alawaa miskeenon aur gareebon ko bhi zaroor daawat dein, kyun ke jis daawat mein sirf maaldaaron ko daawat di jaaye aur gareebon ko shareek na kiya jaaye, ise badtareen khaana qaraar diya gaya hai, chunaanche ek Hadees mein hai,

Badtareen khaana us waleeme ka khaana hai jis mein maaldaaron ko daawat di jaaye aur gareebon ko chhod diya jaaye, aur jis shakhs ne daawat-e-waleema qabool na ki, us ne Allah aur Uske Rasool ki naafarmaani ki. (Bukhari: 5177)

Sirf dikhlaawe aur fakhr ke taur par aur ek doosre se aage badhne ke liye waleema karna, us mein aisi aaraaish wa numaaish karna ke sunnat ka door door tak naam wa nishaan na ho, aise khaane se bhi door rehna chaahiye, ek Hadees mein hai ke Rasulullah ﷺ ne fakhr aur dikhlaawa karne waalon ka khaana khaane se mana farmaaya hai. (Abu Dawud: 3754)

Share on: Telegram | WhatsApp