Tohfa-e-Nikaah Part - 07

Shohar Ke Huqooq

Biwi apne shohar ki gair maujoodgi mein khud apni hifaazat kare, kabhi kisi gunaah mein mubtala na ho aur shohar ke maal wa saamaan ki hifaazat kare,

Hadees shareef mein hai ke: Biwi apne shohar ke ghar ki nigehbaan hai. (Bukhari: 893)

Allah Taala ne shohar ko bada martaba ata farmaaya hai, is liye shohar ko raazi aur khush rakhna ibaadat aur sawaab ka kaam hai aur us ko naakhush aur naaraaz karna bahot bada gunaah hai, is liye biwi ko chaahiye ke jaaiz kaamon mein shohar ki itaaat kare, ek Hadees mein

Rasulullah ﷺ farmaaya: Jo aurat is haal mein mare ke us ka shohar us se raazi ho, woh Jannat mein Jaayegi. (Sho'bul imaan: 8744)

Share on: Telegram | WhatsApp