Tohfa-e-Nikaah Part - 08

Maa, Baap, Bahu Aur Saas Sasur Ke Huqooq

Nikaah ho jaane ke baad biwi apne maa baap, bhai bahen aur poora khaandaan chhod kar apne shohar ke ghar aati hai, us ghar mein us ke liye har shakhs ajnabi hota hai, lihaaza shohar ke gharwaalon ko chaahiye ke woh bahu ke saath achchha bartaao karein aur bahu ke liye bhi zaroori hai ke jab tak khusar aur saas zinda rahein, un ki khidmat kare aur is mein apni izzat samjhe aur jab maike jaaye, to apne maa baap ki khidmat aur jaaiz kaamon mein un ki itaa'at wa farmaanbardaari karti rahein, kyun ke

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Woh tumhaari jannat aur dozakh hain. (Ibne Maaja: 3662)

Yaani agar tum maa baap ki khidmat karke un ko raazi rakhoge to jannat paaloge aur agar un ki naafarmaani karke unhien naaraaz karoge, to phir tumhaara thikaana dozakh mein hoga. Lihaaza ladka aur ladki donon shaadi ke baad maa baap ka khaas khayaal rakhein.

Share on: Telegram | WhatsApp