Tohfa-e-Nikaah Part - 58

Shohar Sirf Chand Dinon Ka Mehmaan Hai

Ek Hadees mein Hazrat Muaaz bin Jabal (RA) se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jab kabhi koi biwi apne shohar ko koi takleef pahonchaati hai, to us ke shohar ki jo biwiyaan Allah Ta'ala ne jannat mein "Hooron" ki shakl mein rakhi hain, woh Hoorein jannat se is duniya ki biwi ko khitaab kar ke kehti hain, tu is ko takleef mat pahoncha, is liye ke yeh tumhaare paas chand din ka mehmaan hai aur qareeb hai ko woh tum se juda ho kar hamaare paas aajaaye. (Tirmizi: 1174)

Yeh baat Rasoolullah badmizaaj aur bigdi tabiyat waali biwi ko mutwajje kar ke farma rahe hai ke tum apne shoharon ko jo takleef pahoncha rahi ho, is se us ka kuch nahein bigadta, is liye ke duniya mein to jo chaahogi takleef pahoncha dogi, lekin aakhirat mein Allah Ta’ala us ka rishta aisi "Hooron" ke saath qaaim  farmaayeinge, jo in shoharon se itni muhabbat karti hain ke un ke dil ko abhi se is baat ki takleef ho rahi hai ke duniya mein hamaare shohar ke saath yeh kaisa takleef pahonchaane waala muaamla kiya ja raha hai! lekin yeh duniya ki biwi agar nek hogi, apne shohar ki itaa’at karne waali hogi, to phir yeh jannat mein un tamaam hooron ki sardaar hogi.

Share on: Telegram | WhatsApp