Tohfa-e-Nikaah Part - 59

Betiyon Ke Saath Achchha Sulook Karna Jannat Mein Daakhil Hone Ka Zariya Hai

Taaleem aur tarbiyat ladke aur ladki donon ka bunyaadi haq hai, donon ko achchhi taaleem dena aur un ki behtareen tarbiyat karna zaroori hai. Lekin ladkiyon ki taaleem wa tarbiyat ki ziyaada zaroorat hai, kyun ke wahi aage ek poore khaandaan ki tarbiyat karne waali banti hain, Huzoor ﷺ ne ladkiyon ke saath achchha bartaao karne ki khaas taakeed ki hai aur us ki khusoosi fazeelatein bayaan farmaayi hain.

Bukhari shareef mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jis shakhs par (Allah Ta'ala ki taraf se) in betiyon ki zimmedaari daali gayi aur in ke saath unhon ne achchha sulook kiya, to woh us ke liye jahannam se bachaao ka zariya baneingi. (Bukhari: 5995)

Ek Hadees mein Aap ﷺ ka irshaad hai: Jis shakhs ke yahaan ladki paida ho phir woh us ko na takleef pahonchaaye, na us ko zaleel kare aur na hi apne ladke ko us par tarjeeh de (yaani us ke saath bhi waisa hi bartaao kare, jaisa ke woh ladkon ke saath karta hai) to Allah Ta'ala us ke saath is achchhe sulook ki wajah se us ko jannat mein daakhil karega. (Musnade Ahmed: 1957)

Share on: Telegram | WhatsApp