Tohfa-e-Nikaah Part - 60

Aulaad Ke Haq Mein Allah Se Duaaein Maangte Rahiye

Har insaan ke dil mein apni aulaad se bahot ziyaada muhabbat hoti hai, isi liye jab woh un ke haq mein duaaein karta hai, to woh dil se nikalti hai aur isi liye us ko Allah zaroor qabool karte hain.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: 3 duaaein aisi hain jo yaqeenan qabool ki jaati hain, us ki qabooliyat mein koi shak nahein hai, waalid ki dua, musaafir ki dua aur mazloom ki dua. (Abu Daaood: 1536)

Ulama ne likha hai ke is Hadees mein sirf waalid ka zikr hai aur waalida ka nahein, lekin waalida bhi is mein shaamil hai, aur un ki dua kuch ziyaada hi maqbool hoti hai, kyun ke us ka haq bhi ziyaada hai. (Mirqaat: 7/135)

Share on: Telegram | WhatsApp