Tohfa-e-Nikaah Part - 61

Sohbat Ke Waqt Chand Baaton Ka Khayaal Rakhein

Shohar ko chaahiye ke nayi naweli dulhan ke saath, pyaar wa muhabbat bhari baat karke us ki ajnabiyat ko khatm kare aur us ko apni taraf maail kare, sohbat ke waqt miyaan biwi baawazoo hoon, sohbat ki dua padh kar shuru karein, kamre ko saaf suthra aur khushbu se muattar rakhein, sohbat ke waqt chaadar oudh lein, bilkul nange na hoon. (Ibne Maaja: 1920, Bahz bin hakeem an Abihi an Jaddihi , Mafhoom)

Hambistari ke waqt miyaan biwi ek doosre ki sharmgaah ko na dekhein, qibla rukh na hoon, jab shohar faarig ho jaaye, to biwi ke faarig hone se pehle us se alag na ho balke us ke faarig hone ka intizaar kare aur us ki taskeen ka khayaal rakhe, dobaara sohbat ka iraada ho to darmiyaan mein wazu karle. (Muslim: 707, Abu Saeed Khudri (RA) mafhoom)

Sohbat ke baad gusl ka iraada na ho to wuzu kar ke soye. (Bukhari: 288, Aaisha (RA))
Bhook aur bhare huwe pet ke saath hambistari nahein karni chaahiye, tanhaayi mein hone waale muaamlaat ka dost wa ahbaab aur saheliyon se tazkira nahein karna chaahiye.

Hadees shareef mein hai ke qayaamat ke din Allah Ta'ala ke nazdeek tamaam logon mein bure thikaane waale woh log hain, jo mubaasarat ke haalaat doosron se bayaan karein. (Muslim, Abu Saeed Khudri (RA) mafhoom)

Share on: Telegram | WhatsApp