Tohfa-e-Nikaah Part - 62

Hambistari Ke Waqt Chand Duaayein Zaroor Padhein

Islaam ne apne maanne waalon ko har mauqe ki duaayein aur aadaab sikhaaye hain, un hi mein se ek sohbat ka mauqa hai, chunaanche shohar jab pehLi martaba apni biwi se tanhaayi mein mulaaqaat kare, to us ki peshaani ke baal pakad kar yeh dua padhe:

اَللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ خَيْرَهَا وَخَيْرَ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْهِ وَأَعُوْذُ بِكَ مِنْ شَرِّهَا وَشَرِّ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْهِ

Tarjama: Aye Allah! Main aap se us ki bhalaayi aur us ki paidaaishi aadaton ki bhalaayi maangta hoon aur us ki buraayi aur us ki paidaaishi aadaton ki buraayi se aap ki panaah chaahta hoon. (Abu Daaood: 2160)

Shohar aur biwi sohbat se pehle yeh dua padh lein:

بِاسْمِ اللَّهِ اَللَّهُمَّ جَنِّبْنَا الشَّيْطَانَ وَجَنِّبِ الشَّيْطَانَ مَا رَزَقْتَنَا

Tarjama: Allah ke naam se shuru karta hoon, Aye Allah ham donon ko shaitaan se door rakh aur jo kuch (ladka ya ladki) tu hamein naseeb kare us ko bhi shaitaan se door rakh. (Bukhari: 141)
Phir jab inzaal ki naubat pahonche, to dil hi dil mein yeh dua padhein:

 للَّهُمَّ لَا تَجْعَلْ لِلشَّيْطَانِ فِيْمَا رَزَقْتَنَا نَصِيْبَا

Tarjama: Aye Allah! Aap jo kuch (bachcha ya bachchi) ata karein, us mein shaitaan ka koi hissa mat rakhna. (Musannaf ibne Abi Shaiba: 17439)

Jima' ke waqt in duaaon ka ehtimaam karne se shaitaan ke shar se hifaazat ho jaati hai aur jo in duaaon ka ehtimaam nahein karte, to shaitaan us mein apna asar daalta hai aur isi sabab se aulaad mein fasaad aur bigaad paida hota hai aur woh na farmaan banti hain.

Share on: Telegram | WhatsApp