Tohfa-e-Nikaah Part - 63

Biwi Ka Shohar Par Bada Ehsaan Hota Hai

Shohar ke liye dunya mein biwi se badhkar koi hamdard aur mohsin nahein hai, woh us ke ghar ka intizaam sambhaalti hai, Us ke bachchon ki achchhi aur behtareen parwarish karti hai, shohar ke maal ki hifaazat karti hai, ghar ke kaamon ko behtar tareeqe se anjaam deti hai, jab shohar par koi museebat aa padti hai, to use tasalli deti hai, woh shohar ka aise waqt saath deti hai, jab saare rishtedaar aur dost wa ahbaab us ka saath chhod kar chale jaate hain, jab shohar bimaar hota hai, to us ki baraabar timaardaari karti hai, us ki khidmat mein raat din ek kar deti hai, budhaape mein ek achchha hamdard ban kar us ka saath deti hai aur us ka sab se bada ehsaan yeh hai ke woh sirf aur sirf shohar ki khaatir apne poore khaandaan, ghar ki ek ek cheez hatta ke apne waalidain ko bhi chhod deti hai. Lihaaza shohar ko chaahiye ke ehsaan ka badla ehsaan se de.

Ek Hadees mein Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jis ne logon ka shukriya ada nahin kiya us ne Allah ka shukriya ada nahin kiya. (Tirmizi: 1955)

Share on: Telegram | WhatsApp