Tohfa-e-Nikaah Part - 64

Biwi Ka Dil Jeetne Ki Koshish Karein

Shohar ko chaahiye ke biwi ke saath pyaar wa muhabbat waali zindagi guzaare, us ki jaaiz zarooriyaat ko poora karne ki koshish kare, us ke achchhe kaamon ki ta'areef karein, kabhi kabhi biwi ko chhota mota tohfa aur hadya bhi diya kare,

Ek Hadees mein Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Tum aapas mein hadiya do, is se muhabbat badhegi. (Sho'bul Imaan: 8976, Abu Huraira (RA))

Biwi ke saath muhabbat ka izhaar karte rahe, ya aisa koi kaam kare jis se biwi ko muhabbat ka paigaam mile.

Rasoolullah ne farmaaya: Imaan waalon mein sab se kaamil imaan waala woh hai ke jis ke akhlaaq achchhe hoon aur woh apne gharwaalon ke saath lutf se zindagi guzaarne waala ho. (Tirmizi: 2612)

Agar biwi koi aisa kaam kare jo aap ko naapasand ho, to us ko ALLah ki bandi samajh kar maaf kar dijiye, jab aap us ki ek galti ko maaf kar deinge, to us ka diL is baat ki gawaahi dene par majboor ho jaayega ke dunya mein sab se achchha shohar mera hai aur yeh baat yaad rakhiye ke Allah Ta'aLa ne aurat ko tedhi pasli se paida kiya hai,

Ek hadees mein Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Aurat pasli ki tarah hai, agar tum us ko seedha karoge, to tod doge, lihaaza (jaise tedhi pasliyaan kaam de rahi hain) un se un ke tedhepan ke saath faaida uthaate raho. (Bukhari: 5184)

Share on: Telegram | WhatsApp