Tohfa-e-Nikaah Part - 65

Apne Ghar Ko Pur Sukoon Banaaiye

Walidain ghar ke maahaul ki taraf tawajjoh dein: Apne nizaamul auqaat mein se kuch waqt bachchon ke Liye zaroor faarig karein, un ki tarbiyat ki taraf dhyaan dein, kahein aisa na ho ke waalid to saara din ghar ke baahar tijaarat aur office ke kaamon mein mashgool rahe aur raat der se ghar aaye, aur bachchon par tawajjoh na hone ki wajah se woh aage chal kar sar ka dard ban jaayein. Bachchon ke saamne bahas wa mubaahasa na kare, biwi ko koi baat samjhaani ho, to pyaar wa muhabbat aur narmi se samjhaaye, jitna mumkin ho sake raat mein jaldi ghar aane ki koshish kare, Allah Ta'aLa ne sukoon teen cheezon mein rakha hai, un mein se ek cheez biwi hai, chunaanche

Qur'aan mein hai: Us (Allah) ki ek nishaani yeh hai ke us ne tumhaare liye tum hi mein se biwiyaan paida kein, taake tum un ke paas ja kar sukoon haasil karo. (Sura-e-Room: 21)

Sukoon ka doosra sabab ghar hai.

Qur'aan mein hai: Aur Us (Allah) ne tumhaare liye tumhaare gharon ko sukoon ki jagah banaaya hai (Sura-e-Nahl: 80)

Aur sukoon haasiL karne ka teesra zariya raat hai, chunaanche

Qur'aan mein hai: Allah hi hai jis ne tumhaare liye raat banaayi taake tum sukoon haasiL karo. (Sura-e-Yunus: 67)

In aayaat se maaloom huwa ke mukammal sukoon ghar mein ghar waalon ke saath raat guzaarne se naseeb hota hai, lihaaza raat mein dost wa ahbaab ke saath gap shap mein na guzaarein, balke jald se jald ghar aane ki koshish karein aur raat ka waqt apne gharwaalon ke saath guzaarein.

Share on: Telegram | WhatsApp