Tohfa-e-Nikaah Part - 66

Haamila Aurat Chand Cheezon Ka Khayaal Rakhein

Haamila hona Allah Ta'ala ki bahot badi ne'mat hai, is liye itni badi daulat milne par Allah Ta'ala ka khoob shukr ada karna chaahiye. Shukr karne ka tareeqa yeh hai ke zabaan se har waqt Allah Ta'ala ki ta'areef aur badaai bayaan karein, maslan zabaan se yun kahe: Aye Allah! Aap hi ke liye tamaam ta'areefein hain aur aap hi ka shukr hai ke mujhe maa banne ka sharf bakhsha aur dil ka shukr yeh hai ke har waqt khush rahein, apne aap ko khush rakhne ki koshish karein, pichhle gamon ko bhula dein aur naye khawaab sajaayein, khuli faza mein chahal qadmi kiya karein, raat mein jald sone ki aadat daalein, taaza hawa gehra saans lene ki aadat daalein, deeni kitaabon, ummahaatul mo'mineen aur sahaabiyaat ki zindagi ka mutaala kar liya karein, maaddi gizaaon ke ehtimaam ke saath saath roohaani gizaaon ka bhi ehtimaam karein kyun ke jis tarah maaddi gizaayein pet mein hone waale bachche par asar andaaz hoti hain, aise hi roohaani giza maslan Qur'aan ki tilaawat aur Allah ke zikr se bhi bachche par achchha asar padta hai, jahaan tak ho sake baawazoo rahein aur kuch waqt nikaal kar 2 rak'at nafl namaaz salaatus shukr ki niyyat se padh lein, phir aakhir mein Allah Ta'ala se nek saaleh aulaad ki khoob duaayein karein. Ma'ashi tangi ke dar se bachchon ko maar daalna ya hamal giraana ya aur koi tadbeer ikhtiyaar karna, ke hamal hi na thhehre, yeh sab gunaah aur haraam hai.

Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaata hai: Apni aulaad ko tangi ke dar se qatl mat karo, ham un ko bhi rizq denge aur tum ko bhi, beshak un ka qatl karna bada gunah hai. (Sura-e-Bani israaeel: 31)

Share on: Telegram | WhatsApp