Tohfa-e-Nikaah Part - 67

Bachche Ka Achchha Naam rakhna Maa Baap Ki Zimmedaari Hai
Waalidain par bachchon ke huqooq mein se ek haq yeh hai ke woh apne bachchon ka achchha naam rakhein, jis ke maana aur matlab achchhe hoon, behtar yeh hai ke ambiya, sahaaba aur buzurgon ke naam par bachchon ke naam rakhe jaayein, aur is niyyat se rakhein ke in paakeeza logon mein jo sifaat aur khoobiyaan thein, woh hamaare bachchon mein bhi paida hoon.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jis ki koi aulaad ho to use chaahiye ke us ka achchha naam rakhe aur use adab sikhaaye. (Sho'bul imaan: 8666)

Ek Hadees mein Aap ﷺ ne farmaaya: Bila shuba tum qayaamat ke din apne aur apne baap ke naamon se pukaare jaaoge, is liye tum achchha naam rakha karo. (Abu Daaood: 4948)

Aaj kal naamon ke ta'alluq se badi be ehtiyaati barti jaati hai, aksar logon mein naye naye naam rakhne ka riwaaj pad chuka hai aur baaz martaba to be-maana naam rakh liye jaate hain aur kabhi aise naam rakh liye jaate hain, jin ke maana sahi nahein hote, is liye kam az kam aise naam rakhne chaahiye, jo alfaaz aur maana ke lihaaz se munaasib aur sahi hoon.

Share on: Telegram | WhatsApp