Tohfa-e-Nikaah Part - 68

Maher Ki Miqdaar Kam Se kam 10 Dirham Ke Baqadar Honi Chaahiye

Nikaah ki wajah shohar par jo maal biwi ko dena waajib hota hai, use "maher" kahte hain. Maher aurat ka sharai haq hai, mard par maher ka ada karna laazim hai. Maher ki kam se kam miqdaar 10 dirham (taqreeban 31 gram Chaandi) ya us ki qeemat hai. Is se kam maher muqarrar karna durust nahein hai. ziyaada maher ki koi had nahein hai. Lekin maher utna hi muqarrar karna chaahiye jitna mard ada kar sakta ho, agar mahre Faatmi (dedh kilo (l.5), 31 gram chaandi) ada karne ki taaqat ho to use muqarrar karna mustahab hai. (Shaami: 9/496-500, Baabul maher)

Share on: Telegram | WhatsApp