Tohfa-e-Nikaah Part - 70

Khaawind Ki Ijaazat Ke Bagair Nafli Roza Na Rakhe Aur Na Ghar Mein Kisi Ko Daakhil Kare

Rasoolullah ﷺ ne aurton ko hukm diya hai ke kisi aurat ke liye halaal nahein ke woh apne shohar ki maujoodgi mein us ki ijaazat ke bagair (nafli) roza rakhe aur na hi kisi (ajnabi shakhs) ko shohar ki ijaazat ke bagair ghar mein daakhil kare, aur agar koi aurat apne shohar ki ijaazat ke bagair kuch (Allah ki raah mein) kharch karti hai to us kharch ke sawaab mein se shohar ko bhi hissa milega. (Bukhari: 5195, Mafhum)

Is Hadees mein yeh bataaya gaya ke biwi par shohar ka ek haq yeh bhi hai ke us ke ghar mein kisi ajnabi shakhs ko us ki ijaazat ke bagair aane na de.

Share on: Telegram | WhatsApp