Tohfa-e-Nikaah Part - 71

Shohar Ki Naashukri Nahein Karni Chaahiye

Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mujhe jahannam dikhaayi gayi to (main ne dekha ke) jahannam mein aksariyat aurton ki hai, Sahaaba (Raz) ne poochha: Aye Allah ke Rasool aisa kyun hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Un ke kufr ki wajah se; poochha gaya kya aurtein Allah ka kufr karti hain? farmaaya: khaawind ki naashukri karti hain, aur (us ke) ehsaan ki naashukri karti hain, agar tum us (yaani biwi) ke saath hamesha achchha sulook karte raho aur phir kabhi use tumhaari taraf se koi kami kotaahi nazar aaye, to kehti hai: main ne kabhi bhi tumhaari taraf se koi bhalaayi nahein paayi. (Bukhari: 29, Mafhum)

Is Hadees se maaloom huwa ke biwi ko shohar ke ehsaanaat ki naashukri nahein karna chaahiye balke us ke ehsaanaat ka shukrguzaar ban kar rehna chaahiye.

Share on: Telegram | WhatsApp