Tohfa-e-Nikaah Part - 72

Apne Bachchon Ko Bure Doston Ki Sohbatse Bachaayein

Achchhi buri sohbat ka asar bachchon par padta hai, agar bachcha nek logon ki sohbat mein baithta hai, to us par neki ke asraat padte hain aur aage chal kar us ka nek kaam karne ka mizaaj ban jaata hai. is liye har waqt is baat par nazar rakhna chaahiye ke hamaara bachcha kahein bure doston ke saath to nahein rehta hai.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Nek dost ki misaal aisi hai jaise mushk bechne waale ki dukaan ke kuch faaida na bhi ho to khushbu to zaroor aayegi aur bura dost aisa hai ke jaise bhatti se aag, ke aag na lage tab bhi us ke dhuwein se kapde to zaroor kharaab ho jaayeinge. (Abu Daaood: 4829, Mafhum)

Is liye ham apne bachchon par nazar rakhein ke un ki dosti aur uthna baithna kaise logon ke saath hai, agar dost achchhe nahein hain, to ham apne bachchon ko un se door rakhein.

Share on: Telegram | WhatsApp