Tohfa-e-Nikaah Part - 73

Zaroorat Wa Wus'at Ke Bawajood Nikaah Na Karne Waale Shaitaan Ke Bhai Hain

Jis kaam ke karne ka shari'at mein taakeedi ya targeebi hukm diya gaya ho aur us par sawaab ka waada kiya gaya ho, woh deen ka kaam hai, aur jis kaam mein kisi tarah ka taakeedi ya targeebi hukm na diya gaya ho, woh duniya ka kaam hai, chunaanche shari'at mein baaz haalaat mein nikaah ka taakeedi aur baaz haalaat mein targeebi hukm diya gaya hai aur us par sawaab ka waada bhi hai aur nikaah na karne ki mazammat aur buraai bhi bayaan ki gayi hai, wus'at ke baawajood nikaah na karne waale ko Allah ke Rasool ﷺ ne shaitaan ka bhai aur bure logon mein shumaar kiya hai.

Ek Hadees mein hai ke Rasoolullah ﷺ ke paas ek shakhs aaya, jise eikaaf kaha jaata tha, Rasoolullah ﷺ ne us se poochha: Aye eikaaf! Kya tumhaari biwi hai? unhone kaha: nahein, Aap ﷺ ne poochha: baandi hai? unhon ne kaha: nahein, Aap ﷺ ne farmaaya: jab ke tum Allah ke fazl se maaldaar aur tandurust bhi ho, unhon ne kaha: ji haan! to Aap ﷺ ne farmaaya: tab to tum shaitaan ke bhai ho, agar tum eisaai hote to un ke paadri hote aur agar tum ham mein se ho, to jo ham karte hain waisa hi karo, kyun ke hamaara tareeqa nikaah karna hai, tum mein badtareen log woh hai, jo gair shaadi shuda hain aur tumhaare murdon mein badtareen murde woh hain, jo bagair nikaah kiye mar gaye. (Musnade Ahmed: 21450, Abuzar (RA) ; Sho'bul imaan: 5480, Atiyya bin Bishr (RA))

Share on: Telegram | WhatsApp