Tohfa-e-Nikaah Part - 74

Shaadi Biyaah Mein Namaaz Se Laaparwaahi Nahein Karni Chaahiye

Jin gharon mein shaadi badi dhoom dhaam se aur rasm wa riwaaj ke mutaabiq hoti hai, wahaan mardon aur khaas taur par aurton ko namaaz ka bilkul hosh nahein rehta, poori raat jaagne, khilaane pilaane aur mehmaan nawaazi wagaira mein kat jaati hai, magar namaaz ki fursat kisi ko nahein hoti, bila zaroorat namaaz chhod di jaati hai baaz aurton ko yeh uzr hota hai ke ghar mein ya nikaah hall mein itna majma ho gaya tha ke namaaz ke liye jagah hi nahein thi, isi tarah dulha aur dulhan bhi namaaz nahein padhte aur na unhein namaaz padhne ke liye kaha jaata hai, is liye namaaz ke muaamle mein khoob ehtiyaat se kaam lena chaahiye, jaise hi namaaz ka waqt ho jaaye, to laakh koshish kar ke namaaz ada karna chaahiye, chaahe majme mein hi jagah kar ke padh lein ya ghar ja kar namaaz ada karein, jis tarah se bhi ho namaaz zaroor padhein, kisi bhi haalat mein namaaz chhodna ya qaza karna jaaiz nahein hai.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Bande aur kufr ke darmiyaan namaaz chhodne ka hi farq hai. (Abu Daaood: 4678, Jaabir (RA))

Share on: Telegram | WhatsApp