Tohfa-e-Nikaah Part - 75

Shohar Ke Mizaaj Ki Riyaayat Aur Us Ka Adab Wa Ehtiraam Karo

Biwi ko chaahiye ke har waqt shohar ke mizaaj ki riyaayat kare aur us ka mizaaj dekh kar baat kare, agar dekhe ke us ka shohar hansi aur dillagi ki baat kar raha hai, to us ke saath woh bhi hansi aur dil lagi kare aur agar woh kisi pareshaani mein ho to hansi ki baatein na kare balke us ki pareshaani ko sun kar use tasalli ke kalimaat kahe aur us ki himmat afzaai kare, khushi aur gam mein har waqt us ka saath de, us ki izzat mein apni izzat samjhe, us ka adab wa ehtiraam kare, us se hargiz koi kaam na le, us ki har raahat wa aaraam ka khayaal rakhe , uthne baithne mein, baat cheet karne mein, garz har baat mein adab wa tameez ka khayaal rakhe.

Share on: Telegram | WhatsApp