Tohfa-e-Nikaah Part - 77

Bachchon Ke Saath Shafqat Aur Muhabbat Ka Muaamla Karna Chaahiye

Waalidain ko chaahiye ke bachchon ke saath mil jul kar rahein, un ke saath shafqat aur muhabbat ka muaamla karein, baat baat par un ko na daantein, agar bachche koi galat kaam kar dein, unhein na maarein balke un ko pyaarwa muhabbat se samjhaayein, chhoti chhoti baat par daantne aur maarne se bachche ke andar chid chida pan aur gusse ki aadat paida ho jaati hai.

Ek martaba ek sahaabi Huzoor ﷺ ke paas aaye, us waqt Aap ﷺ Hazrat Hasan (RA) ko pyaar kar rahe the, un sahaabi ko yeh dekh kar ta'ajjub huwa, unhon ne kaha: ya Rasoolallah! Aap bhi bachchon ko pyaar karte hain, mere 10 bachche hain, lekin main ne to kabhi kisi ek ko bhi pyaar nahein kiya. Aap ﷺ ne un ki taraf nazar uthaayi aur farmaaya: Jo (doosron par) raham nahein karta, us par bhi raham nahein kiya jaata. (Bukhari: 5997, Abu Huraira (RA))

Share on: Telegram | WhatsApp