Tohfa-e-Nikaah Part - 78

Nikaah Ke Liye Saal Ka Koi Bhi Maheena Manhoos Nahein Hai

Saal ke kisi bhi maheene mein shaadi karne mein koi harj nahein hai, awaam mein yeh baat mash'hoor ho gayi hai ke safar ke maheene mein nahoosat hai aur is maheene mein shaadi be barkati aur museebaton ka sabab hoti hai, haalaanke Islaam mein na koi maheena manhoos hai aur na hi kisi maheene mein shaadi karne se mana kiya gaya hai, safar ke maheene ko manhoos samajhna aur us se badshagooni lena durust nahein hai.

Hazrat Abu Huraira (RA) se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Bimaari khud ba khud ek doosre ko nahein lagti, bad shagooni ki koi haqeeqat nahein hai, na hi murdon par ullu bolte hain aur na hi safar ke maheene mein koi nahoosat hai. (Bukhari: 5707, Mafhum)

Share on: Telegram | WhatsApp